izzat
zindagī ke do usuul haiñ
ek pyaar ek tāqat
aur pyaar bahut baḌī tāqat hai
insānoñ ne mil kar koshish kī
to pahāḌoñ se nahreñ nikālīñ
sahrāoñ ko gulzār banāyā
aur jab vo ek dūsre ke ḳhuun ke pyāse hue
to hañste baste shahroñ ko khañDaroñ meñ tabdīl kar diyā
insān ko insān banāyā
mohabbat ne hamdardī ne
haivān sirf tāqat kī zabān samajhtā hai
gadhoñ par sirf DanDe paḌte haiñ
yahī un ke liye izzat kā me.aar hai
jo pyaar kī zabān samajhtā hai
kaam vo bhī kartā hai
lekin pyaar se
izzat se
zindagi ke do usul hain
ek pyar ek taqat
aur pyar bahut baDi taqat hai
insanon ne mil kar koshish ki
to pahaDon se nahren nikalin
sahraon ko gulzar banaya
aur jab wo ek dusre ke KHun ke pyase hue
to hanste baste shahron ko khanDaron mein tabdil kar diya
insan ko insan banaya
mohabbat ne hamdardi ne
haiwan sirf taqat ki zaban samajhta hai
gadhon par sirf DanDe paDte hain
yahi un ke liye izzat ka mear hai
jo pyar ki zaban samajhta hai
kaam wo bhi karta hai
lekin pyar se
izzat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.