ja maine tujhe aazad kiya
jā maiñ ne tujhe āzād kiyā
jab merī mohabbat kī terī
nazroñ meñ koī vaq.at hī nahīñ
iz.hār kā mere tere liye
ma.anī hī nahīñ vaq.at hī nahīñ
jab merī hifāzat ne tujh ko
is darja hai bezār kiyā
ki tū ne hī merī chāhat ko
rusvā yuuñ sar-e-bāzār kiyā
kyoñ be-qadre kī ḳhātir yuuñ
ye vaqt apnā barbād kiyā
jā maiñ ne tujhe āzād kiyā
motī ke khilā.e the daane
maḳhmal meñ tujhe malbūs kiyā
pairoñ meñ tire ye dil thā mirā
koī ashk tirā girne na diyā
le maiñ ne mohabbat ke apne
is pinjre kā dar khol diyā
ab tujh ko ijāzat hai is kī
parvāz jahāñ kar bol diyā
jaane pe tere sunñā ham ne
na shikva na fariyād kiyā
jā maiñ ne tujhe āzād kiyā
ab par tere kamzor nahīñ
mujh meñ sunñe kā zor nahīñ
ki qaid kiyā maiñ ne tujh ko
ye sun kar dil bezār huā
ehsās huā hai shiddat se
ġhalatī thī mirī jo pyaar huā
jo chāhe jahāñ chāhe jā kar
tū apnā baserā ab kar le
be-kār hī apne aap ko yuuñ
chāhat meñ terī barbād kiyā
jā maiñ ne tujhe āzād kiyā
jā maiñ ne tujhe āzād kiyā
ja main ne tujhe aazad kiya
jab meri mohabbat ki teri
nazron mein koi waqat hi nahin
izhaar ka mere tere liye
mani hi nahin waqat hi nahin
jab meri hifazat ne tujh ko
is darja hai bezar kiya
ki tu ne hi meri chahat ko
ruswa yun sar-e-bazar kiya
kyon be-qadre ki KHatir yun
ye waqt apna barbaad kiya
ja main ne tujhe aazad kiya
moti ke khilae the dane
maKHmal mein tujhe malbus kiya
pairon mein tere ye dil tha mera
koi ashk tera girne na diya
le main ne mohabbat ke apne
is pinjre ka dar khol diya
ab tujh ko ijazat hai is ki
parwaz jahan kar bol diya
jaane pe tere sunna hum ne
na shikwa na fariyaad kiya
ja main ne tujhe aazad kiya
ab par tere kamzor nahin
mujh mein sunne ka zor nahin
ki qaid kiya main ne tujh ko
ye sun kar dil bezar hua
ehsas hua hai shiddat se
ghalati thi meri jo pyar hua
jo chahe jahan chahe ja kar
tu apna basera ab kar le
be-kar hi apne aap ko yun
chahat mein teri barbaad kiya
ja main ne tujhe aazad kiya
ja main ne tujhe aazad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.