ja re ja badra
jā re jā badrā
garaj baras kahīñ aur
mujh birhan ko kyoñ taḌpā.e
kar ke nāhaq shor
sājan bin kyā sāvan badrā
baras na more āñgan badrā
pīhū-pīhū mat bol papīhe
naach na tū re mor
jā re jā badrā
garaj baras kahīñ aur
jā kar tū pardes o badrā
pī ko de sandes o badrā
akhiyāñ morī taras ga.ī haiñ
dekhan ko chit-chor
jā re jā badrā
garaj baras kahīñ aur
kaḌ-kaḌ kaḌ-kaḌ bajrī kaḌke
dhak-dhak dhak-dhak jiyarā dhaḌke
maiñ birhan yuuñ taḌap rahī huuñ
jyuuñ bin chāñd chakor
jā re jā badrā
garaj baras kahīñ aur
mujh birhan ko kyoñ taḌpā.e
kar ke nāhaq shor
ja re ja badra
garaj baras kahin aur
mujh birhan ko kyon taDpae
kar ke nahaq shor
sajan bin kya sawan badra
baras na more aangan badra
pihu-pihu mat bol papihe
nach na tu re mor
ja re ja badra
garaj baras kahin aur
ja kar tu pardes o badra
pi ko de sandes o badra
akhiyan mori taras gai hain
dekhan ko chit-chor
ja re ja badra
garaj baras kahin aur
kaD-kaD kaD-kaD bajri kaDke
dhak-dhak dhak-dhak jiyara dhaDke
main birhan yun taDap rahi hun
jyun bin chand chakor
ja re ja badra
garaj baras kahin aur
mujh birhan ko kyon taDpae
kar ke nahaq shor
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.