jaDe ki raat
kyā kahūñ tum se baat jaaḌe kī
lambī hotī hai raat jaaḌe kī
niiñd ik baar jab uchaTtī hai
baḌī mushkil se raat kaTtī hai
log āñkhoñ ko band karte haiñ
jāgnā nā-pasand karte haiñ
ḳhuub karvaT pe lete haiñ karvaT
niiñd aa.e kisī tarah jhaT-paT
vo kabhī oḌhnā razā.ī kā
vaah kyā kahnā is safā.ī kā
hai ye matlab ki jī na ghabrā.e
chain se so.eñ niiñd aa jaa.e
magar aisī ghaḌī uḌī thī niiñd
sub.h tak phir zarā na aa.ī niiñd
ban sañvar kar bahut paḌe lekin
jāgte jāgte chaḌh aayā din
masjidoñ meñ azaan hone lagī
jalva-gar din kī shaan hone lagī
murġh ab bolte haiñ kūkḌūñ kuuñ
aur kabūtar bhī karte haiñ ġhaT guuñ
kyā sabab niiñd kyoñ uchaTtī hai
raat kyoñ mushkiloñ se kaTtī hai
baat ye hai jo haiñ nikamme log
kaam kā pālte nahīñ haiñ rog
un ko matlab nahīñ kitāboñ se
raat ko vo sabaq nahīñ paḌhte
shaam hī se vo leT rahte haiñ
baat sunte haiñ aur na kahte haiñ
lambī hotī hai raat jāḌoñ kī
niiñd bhar kar hai aañkh khul jaatī
jaag kar phir vo sub.h karte haiñ
jaisī karte haiñ vaisī bharte haiñ
kya kahun tum se baat jaDe ki
lambi hoti hai raat jaDe ki
nind ek bar jab uchaTti hai
baDi mushkil se raat kaTti hai
log aankhon ko band karte hain
jagna na-pasand karte hain
KHub karwaT pe lete hain karwaT
nind aae kisi tarah jhaT-paT
wo kabhi oDhna razai ka
wah kya kahna is safai ka
hai ye matlab ki ji na ghabrae
chain se soen nind aa jae
magar aisi ghaDi uDi thi nind
subh tak phir zara na aai nind
ban sanwar kar bahut paDe lekin
jagte jagte chaDh aaya din
masjidon mein azan hone lagi
jalwa-gar din ki shan hone lagi
murgh ab bolte hain kukDun kun
aur kabutar bhi karte hain ghaT gun
kya sabab nind kyon uchaTti hai
raat kyon mushkilon se kaTti hai
baat ye hai jo hain nikamme log
kaam ka palte nahin hain rog
un ko matlab nahin kitabon se
raat ko wo sabaq nahin paDhte
sham hi se wo leT rahte hain
baat sunte hain aur na kahte hain
lambi hoti hai raat jaDon ki
nind bhar kar hai aankh khul jati
jag kar phir wo subh karte hain
jaisi karte hain waisi bharte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.