Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jadu ka shahr

Shahid Ahmad Shoaib

jadu ka shahr

Shahid Ahmad Shoaib

MORE BYShahid Ahmad Shoaib

    duur bahut us vīrāne se

    jaadū ik shahr basā hai

    ruup

    nirāle haiñ jalvoñ ke

    raag meñ

    rang meñ

    ras meñ

    Duube lamhoñ raftār na.ī hai

    Duube lamhoñ raftār na.ī hai

    har jānib

    ik mauj-e-tarab hai

    raqs meñ satrangī kirneñ haiñ

    raqs-e-badan hai

    raqs-e-navā hai

    ya.anī

    madhur sangīt sūrat

    saut-o-sadā hai

    farsh-e-zamīñ par chāñd sitāre

    zarroñ meñ nīlam chamak hai

    jaadū ke is shahr se duur

    duur bahut

    is vīrāne meñ

    anjānī ik rāhguzar par

    kab se tanhā

    soch rahā huuñ

    jaadū ke is shahr ke andar

    jaanā to ik jurm hai mujh ko

    maiñ to

    kab se shahr-badar huuñ

    dur bahut us virane se

    jadu ka ek shahr basa hai

    rup

    nirale hain jalwon ke

    rag mein

    rang mein

    ras mein

    Dube lamhon ki raftar nai hai

    Dube lamhon ki raftar nai hai

    har jaanib

    ek mauj-e-tarab hai

    raqs mein satrangi kirnen hain

    raqs-e-badan hai

    raqs-e-nawa hai

    yani

    madhur sangit ki surat

    saut-o-sada hai

    farsh-e-zamin par chand sitare

    zarron mein nilam ki chamak hai

    jadu ke is shahr se dur

    dur bahut

    is virane mein

    anjaani ek rahguzar par

    kab se tanha

    soch raha hun

    jadu ke is shahr ke andar

    jaana to ek jurm hai mujh ko

    main to

    kab se shahr-badar hun

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now