suno chunnū munnū mire paas aao
shakīla jamīla ko bhī saath laao
ye dekho mire paas kyā aa ga.ī hai
ye chhoTī sī Dibiyā baḌe kaam kī hai
ye Dibiyā nahīñ mantaroñ kī chhaḌī hai
suno is meñ jaadū kī puḌiyā paḌī hai
ise jab ghumāv to duniyā ghumā.e
ye ghar baiThe baiThe siyāhat karā.e
ise khaTkhaTāo to ghuñghaT uThā.e
hameñ chāñd sī apnī sūrat dikhā.e
ise jab dabāo to ye gungunā.e
anokhe nirāle dhunoñ ko sunā.e
binā kuchh dabā.e bhī ye boltī hai
binā kuchh hilā.e bhī to Doltī hai
zarūrat ho jis kī ise ye bulā de
bulā kar use ham se bāteñ karā de
hameñ apne bichhḌoñ se ham ko milā de
hamāre diloñ meñ mohabbat jagā de
ye chāhe to jis se bhī jis ko milā de
kisī ko kisī se bhī chāhe bhiḌā de
kabhī ajnabī ko bhī sāthī banā de
kabhī dost ko bhī ye dushman banā de
kabhī jo sharārat ye karne pe aa.e
to chāhe jise raat din ye satā.e
tilismī fazā.eñ bhī is meñ chhupī haiñ
hazāroñ balā.eñ bhī is meñ dabī haiñ
kabhī to ye duniyā kā naqsha ubhāre
kabhī āsmāñ ko zamīñ par utāre
kahāñ kyā huā saarā qissa sunā.e
yahāñ kā vahāñ kā tamāsha dikhā.e
ye mashriq ko maġhrib se pal meñ milā.e
bas ik aan meñ dūriyoñ ko miTā.e
ye photo bhī to baiThe baiThe utāre
hamāre bhī chehre kā naqsha ubhāre
ye dekho tumhārā bhī photo khiñchā hai
tumhāre bhī chehroñ kā naqsha banā hai
nahīñ vaqt kā sirf chakkar chalā.e
ye Dibiyā to tārīḳh din bhī batā.e
alarm bhī to raat meñ ye bajā.e
hameñ vaqt par ġhaflatoñ se jagā.e
mire dil meñ kyā hai ise ye ḳhabar hai
mire dil ke andar bhī is kī nazar hai
ilah-dīn kā ye diyā to nahīñ hai
ki is meñ bhī to koī jin sā basā hai
ki jab bhī bulāo to dekho khaḌā hai
jo shai chāhiye is se hāzir kiyā hai
chhaḌī kī jhaḌī dekh bachche ye bole
bahut der ke baad muñh apnā khole
ye Dibiyā to sach-much baḌe kaam kī hai
hameñ bhī batāo kahāñ se milī hai
batāo ki is kā koī naam bhī hai
frē meñ milī hai yā kuchh daam bhī hai
suno chunnu munnu mere pas aao
shakila jamila ko bhi sath lao
ye dekho mere pas kya aa gai hai
ye chhoTi si Dibiya baDe kaam ki hai
ye Dibiya nahin mantaron ki chhaDi hai
suno is mein jadu ki puDiya paDi hai
ise jab ghumaw to duniya ghumae
ye ghar baiThe baiThe siyahat karae
ise khaTkhaTao to ghunghaT uThae
hamein chand si apni surat dikhae
ise jab dabao to ye gungunae
anokhe nirale dhunon ko sunae
bina kuchh dabae bhi ye bolti hai
bina kuchh hilae bhi to Dolti hai
zarurat ho jis ki ise ye bula de
bula kar use hum se baaten kara de
hamein apne bichhDon se hum ko mila de
hamare dilon mein mohabbat jaga de
ye chahe to jis se bhi jis ko mila de
kisi ko kisi se bhi chahe bhiDa de
kabhi ajnabi ko bhi sathi bana de
kabhi dost ko bhi ye dushman bana de
kabhi jo shararat ye karne pe aae
to chahe jise raat din ye satae
tilismi fazaen bhi is mein chhupi hain
hazaron balaen bhi is mein dabi hain
kabhi to ye duniya ka naqsha ubhaare
kabhi aasman ko zamin par utare
kahan kya hua sara qissa sunae
yahan ka wahan ka tamasha dikhae
ye mashriq ko maghrib se pal mein milae
bas ek aan mein duriyon ko miTae
ye photo bhi to baiThe baiThe utare
hamare bhi chehre ka naqsha ubhaare
ye dekho tumhaara bhi photo khincha hai
tumhaare bhi chehron ka naqsha bana hai
nahin waqt ka sirf chakkar chalae
ye Dibiya to tariKH din bhi batae
alarm bhi to raat mein ye bajae
hamein waqt par ghaflaton se jagae
mere dil mein kya hai ise ye KHabar hai
mere dil ke andar bhi is ki nazar hai
ilah-din ka ye diya to nahin hai
ki is mein bhi to koi jin sa basa hai
ki jab bhi bulao to dekho khaDa hai
jo shai chahiye is se hazir kiya hai
chhaDi ki jhaDi dekh bachche ye bole
bahut der ke baad munh apna khole
ye Dibiya to sach-much baDe kaam ki hai
hamein bhi batao kahan se mili hai
batao ki is ka koi nam bhi hai
free mein mili hai ya kuchh dam bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.