jadu nagri
zindagī kī talḳhiyāñ nākāmiyāñ TuuTe hue
ḳhvāboñ kī kircheñ
roz-o-shab ko muzmahil kar deñ
to mere saath aao
zarā Thahro
maiñ apnī jādū-nagrī kī jhalak dikhlā.ūñ tum ko
vo dekho kis tarah se āsmāñ ke canvas par bādaloñ kā raqs hotā hai
kabhī tum ne ghane jañgal meñ shāḳhoñ se Tapakte shabnamī motī nahīñ dekhe
kabhī sarmā kī rut meñ barf kī chādar pe bikhrī chāñd kī ruupā nahīñ dekhī
kabhī gandum ke khetoñ meñ ugā sonā nahīñ dekhā
kabhī ūñchī chaTānoñ kohsāroñ se ga.ī sadiyoñ ke afsāne sune tum ne
kisī gambhīr sāhil se nahīñ dekhā
ki kaise chīḳhtā biphrā samundar dhīre dhīre shānt hotā hai
kabhī ma.asūm bachchoñ kī hañsī ke nuqra.ī ghuñgrū sameTe haiñ
kabhī chāhat ke hoñToñ se kisī jalte hue māthe ko chūmā hai
zarā socho
ki tum ne maañ kī lorī kī halāvat
ḳhāndānoñ kī sharāfat
pyaar kī rāhat nahīñ paa.ī
zarā socho
ye saarī jādū-nagrī mehrbāñ duniyā tumhārī hai
zindagi ki talKHiyan nakaamiyan TuTe hue
KHwabon ki kirchen
roz-o-shab ko muzmahil kar den
to mere sath aao
zara Thahro
main apni jadu-nagri ki jhalak dikhlaun tum ko
wo dekho kis tarah se aasman ke canwas par baadalon ka raqs hota hai
kabhi tum ne ghane jangal mein shaKHon se Tapakte shabnami moti nahin dekhe
kabhi sarma ki rut mein barf ki chadar pe bikhri chand ki rupa nahin dekhi
kabhi gandum ke kheton mein uga sona nahin dekha
kabhi unchi chaTanon kohsaron se gai sadiyon ke afsane sune tum ne
kisi gambhir sahil se nahin dekha
ki kaise chiKHta biphra samundar dhire dhire shant hota hai
kabhi masum bachchon ki hansi ke nuqrai ghungru sameTe hain
kabhi chahat ke honTon se kisi jalte hue mathe ko chuma hai
zara socho
ki tum ne man ki lori ki halawat
KHandanon ki sharafat
pyar ki rahat nahin pai
zara socho
ye sari jadu-nagri mehrban duniya tumhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.