jaeza
apne ehsās ke ā.īne meñ ḳhud ko dekhā
ik simaTtā huā saaya huuñ bikhartā huā phuul
ek taptā huā sahrā huuñ sulagtā huā shahr
dard kā sarv-e-ravāñ dukh kā shajar dasht-e-ḳhulūs
ek fankār huuñ sarmāya mirā ḳhūn-e-jigar
zindagī bārhā sho.aloñ meñ giraftār huī
bārhā fikr-e-dil-o-jāñ bhī sharar-bār huī
apne māhaul ke me.aar pe ḳhud ko parkhā
ek mujrim huuñ mirā jurm vafā kī tash.hīr
azmat-e-zulm kā munkir huuñ shab-e-ġham kā harīf
ādamiyyat kā taqaddus hai mire fan kā jamāl
haq-parastī mire afkār kā sar-chashma hai
ek mushrik huuñ mirā shirk mohabbat sab se
ek kāfir huuñ mirā kufr sadāqat pe yaqīñ
ye dar-o-bām-e-havas tamkanat-e-qasr-e-sitam
raat kaT jā.egī khul jā.egā zulmat kā bharam
apne ehsas ke aaine mein KHud ko dekha
ek simaTta hua saya hun bikharta hua phul
ek tapta hua sahra hun sulagta hua shahr
dard ka sarw-e-rawan dukh ka shajar dasht-e-KHulus
ek fankar hun sarmaya mera KHun-e-jigar
zindagi barha shoalon mein giraftar hui
barha fikr-e-dil-o-jaan bhi sharar-bar hui
apne mahaul ke mear pe KHud ko parkha
ek mujrim hun mera jurm wafa ki tashhir
azmat-e-zulm ka munkir hun shab-e-gham ka harif
aadamiyyat ka taqaddus hai mere fan ka jamal
haq-parasti mere afkar ka sar-chashma hai
ek mushrik hun mera shirk mohabbat sab se
ek kafir hun mera kufr sadaqat pe yaqin
ye dar-o-baam-e-hawas tamkanat-e-qasr-e-sitam
raat kaT jaegi khul jaega zulmat ka bharam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.