jago aur jagao
aao pyāre bachcho aao
ḳhud jaago auroñ ko jagāo
gayā ġhulāmī kā vo añdherā
āzādī kā huā saverā
niiñd se chauñko hosh meñ aao
ḳhud jaago auroñ ko jagāo
uTho uTho sustī kaisī
ye himmat kī pastī kaisī
aao mil kar qadam baḌhāo
ḳhud jaago auroñ ko jagāo
hindū muslim sikh īsā.ī
sab kā dukh sukh ek hai bhaa.ī
dukhiyoñ kā dukh dard miTāo
ḳhud jaago auroñ ko jagāo
ilm kī sham.a haath meñ le kar
sab ko apne saath meñ le kar
manzil manzil baḌhte jaao
ḳhud jaago auroñ ko jagāo
aao pyare bachcho aao
KHud jago auron ko jagao
gaya ghulami ka wo andhera
aazadi ka hua sawera
nind se chaunko hosh mein aao
KHud jago auron ko jagao
uTho uTho susti kaisi
ye himmat ki pasti kaisi
aao mil kar qadam baDhao
KHud jago auron ko jagao
hindu muslim sikh isai
sab ka dukh sukh ek hai bhai
dukhiyon ka dukh dard miTao
KHud jago auron ko jagao
ilm ki shama hath mein le kar
sab ko apne sath mein le kar
manzil manzil baDhte jao
KHud jago auron ko jagao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.