Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jago aur jagao

Ahmaq Phaphoondvi

jago aur jagao

Ahmaq Phaphoondvi

MORE BYAhmaq Phaphoondvi

    josh-o-amal dikhlāo sab ko

    ġhaflat se chauñkāo sab ko

    uTTho aur uThāo sab ko

    jaago aur jagāo sab ko

    vaqt gayā ḳhvāb-e-rāhat

    vaqt hai ab azm-o-himmat

    bas ab hosh meñ laao sab ko

    jaago aur jagāo sab ko

    sharqī ġharbī gore kaale

    jaag uThe sab sone vaale

    tum bhī ab chauñkāo sab ko

    jaago aur jagāo sab ko

    dahr meñ hai bedārī har-sū

    mulk meñ hai tayyārī har-sū

    tum bhī josh dilāo sab ko

    jaago aur jagāo sab ko

    qaum ḳhidmat farz hai tum par

    mulk ye ik qarz hai tum par

    gur ḳhidmat ke batāo sab ko

    jaago aur jagāo sab ko

    aapas ke jhagḌe tai kar do

    prem aur priit diloñ meñ bhar do

    bāham gale milāo sab ko

    jaago aur jagāo sab ko

    shaiḳh hai na muġhal pursish

    ab hai sirf amal pursish

    kuchh kar ke dikhlāo sab ko

    jaago aur jagāo sab ko

    josh-o-amal dikhlao sab ko

    ghaflat se chaunkao sab ko

    uTTho aur uThao sab ko

    jago aur jagao sab ko

    waqt gaya KHwab-e-rahat ka

    waqt hai ab azm-o-himmat ka

    bas ab hosh mein lao sab ko

    jago aur jagao sab ko

    sharqi gharbi gore kale

    jag uThe sab sone wale

    tum bhi ab chaunkao sab ko

    jago aur jagao sab ko

    dahr mein hai bedari har-su

    mulk mein hai tayyari har-su

    tum bhi josh dilao sab ko

    jago aur jagao sab ko

    qaum ki KHidmat farz hai tum par

    mulk ka ye ek qarz hai tum par

    gur KHidmat ke batao sab ko

    jago aur jagao sab ko

    aapas ke jhagDe tai kar do

    prem aur prit dilon mein bhar do

    baham gale milao sab ko

    jago aur jagao sab ko

    shaiKH ki hai na mughal ki pursish

    ab hai sirf amal ki pursish

    kuchh kar ke dikhlao sab ko

    jago aur jagao sab ko

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now