jagti aankhon ka KHwab
tumhārī yaad kī ḳhushbū lagā.ī thī maiñ ne
tamām raat mire jism-o-jāñ mahakte rahe
surūr-e-hijr ke mausam meñ bhī na maañd paḌā
havās zabt ke aalam meñ bhī bahakte rahe
dayār-e-ḳhvāb meñ kuchh tā.irān-e-ḳhush-āvāz
tumhāre aane kī ummīd meñ chahakte rahe
navāh-e-dil meñ ka.ī raushnī bhare saa.e
vufūr-e-shauq se gaate rahe lahakte rahe
maiñ tum se duur thā lekin tumhāre haath meñ thā
guzishta shab maiñ kisī aur kā.enāt meñ thā
tumhaari yaad ki KHushbu lagai thi main ne
tamam raat mere jism-o-jaan mahakte rahe
surur-e-hijr ke mausam mein bhi na mand paDa
hawas zabt ke aalam mein bhi bahakte rahe
dayar-e-KHwab mein kuchh tairan-e-KHush-awaz
tumhaare aane ki ummid mein chahakte rahe
nawah-e-dil mein kai raushni bhare sae
wufur-e-shauq se gate rahe lahakte rahe
main tum se dur tha lekin tumhaare hath mein tha
guzishta shab main kisi aur kaenat mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.