jagti aankhon ka KHwab
Interesting Fact
(Naqsh, Karachi, January-February 1973)
zindagī
ik jāgtī āñkhoñ kā ḳhvāb
ḳhvāb jo dekhā na pahchānā gayā
ek saa.at
aadmī ko us ke hone kā yaqīñ
dūsrī saa.at
bikhar jaa.e fazāoñ meñ kahīñ
ik darīda-lab sī āvāz-e-jaras
jaise us kī koī manzil hī nahīñ
zindagi
ek jagti aankhon ka KHwab
KHwab jo dekha na pahchana gaya
ek saat
aadmi ko us ke hone ka yaqin
dusri saat
bikhar jae fazaon mein kahin
ek darida-lab si aawaz-e-jaras
jaise us ki koi manzil hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.