jahil faisla
maiñ haar gayā
tum jiit ga.e
kitnī saada sī musāvāt hai
bas yahī tai karne ko
ham sadiyoñ jhagḌe
badalte vaqt ke saath chalne kī ḳhātir
apne hī banā.e
farsūda qānūn
ham se aaḌe na ga.e
hāzir sach ko
sach mānñe meñ
kitne sach
ġhalat Thaharte haiñ
aur pahle ye maan lete
mil baiThte
tai karte
jo aaj huā
guzre kal meñ hotā
ḳhair ab aao
bāhar munjamid hujūm ko
tārīḳhī faisla sunā.eñ
ye achchhe log
sadiyoñ se so.e nahīñ
surḳhiyāñ badalne ke intizār meñ
jī mar rahe haiñ
logo
suno
ham meñ faisla ho gayā hai
āḳhir-e-kār
is sach ko
sach maanā gayā hai
tāliyāñ pīTte pīTte
thak jaao
to gharoñ ko lauTo
din ke ujāle meñ
mīThā bāñTo
ki ḳhatra Tal gayā hai
sadiyoñ se
jo ḳhatre meñ thā
ab ḳhatre se bāhar hai
faisla ho gayā hai
ki tarāzū palḌoñ meñ
ham
ham-palla
ham-vazn
jāhil haiñ
main haar gaya
tum jit gae
kitni sada si musawat hai
bas yahi tai karne ko
hum sadiyon jhagDe
badalte waqt ke sath chalne ki KHatir
apne hi banae
farsuda qanun
hum se aaDe na gae
hazir sach ko
sach manne mein
kitne sach
ghalat Thaharte hain
aur pahle ye man lete
mil baiThte
tai karte
jo aaj hua
guzre kal mein hota
KHair ab aao
bahar munjamid hujum ko
tariKHi faisla sunaen
ye achchhe log
sadiyon se soe nahin
surKHiyan badalne ke intizar mein
ji mar rahe hain
logo
suno
hum mein faisla ho gaya hai
aaKHir-e-kar
is sach ko
sach mana gaya hai
taliyan piTte piTte
thak jao
to gharon ko lauTo
din ke ujale mein
miTha banTo
ki KHatra Tal gaya hai
sadiyon se
jo KHatre mein tha
ab KHatre se bahar hai
faisla ho gaya hai
ki taraazu palDon mein
hum
ham-palla
ham-wazn
jahil hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.