jaan ke ewaz
bachcha lālTain kī raushnī meñ paḌh rahā hai
būḌhā apnī duā.eñ baañT rahā hai
mujhe tumhāre ilzām par apnī safā.ī pesh karnā hai
koī kahtā hai
alfāz merī giraft se bāhar haiñ
soch merī giraft se bāhar hai
dil merī giraft se bāhar hai
koī kahtā hai
merī nigāheñ dīvānī mālūm hotī haiñ
apnī safā.ī pesh karnā mere bas se bāhar hai
mujh par gahre samundar meñ tairne kā ilzām hai
mujh par ghane jañgal meñ rāsta DhūñDne kā ilzām hai
mujh par kaḌī dhuup meñ jaan dene kā ilzām hai
bachcha aaj kā sabaq paḌh chukā hai
būḌhā apnī duā.eñ baañT chukā hai
tum ilzām lagā kar kis intizār meñ ho
bachche kī lālTain bujhā.ī nahīñ jā saktī
būḌhe kī duā.eñ churā.ī nahīñ jā saktīñ
maiñ apne alfāz
apnī jaan ke evaz
bech nahīñ saktī
bachcha lalTain ki raushni mein paDh raha hai
buDha apni duaen banT raha hai
mujhe tumhaare ilzam par apni safai pesh karna hai
koi kahta hai
alfaz meri giraft se bahar hain
soch meri giraft se bahar hai
dil meri giraft se bahar hai
koi kahta hai
meri nigahen diwani malum hoti hain
apni safai pesh karna mere bas se bahar hai
mujh par gahre samundar mein tairne ka ilzam hai
mujh par ghane jangal mein rasta DhunDne ka ilzam hai
mujh par kaDi dhup mein jaan dene ka ilzam hai
bachcha aaj ka sabaq paDh chuka hai
buDha apni duaen banT chuka hai
tum ilzam laga kar kis intizar mein ho
bachche ki lalTain bujhai nahin ja sakti
buDhe ki duaen churai nahin ja saktin
main apne alfaz
apni jaan ke ewaz
bech nahin sakti
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 218)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.