jaan majbur hun
ik taraf tere lab
terī āñkhoñ meñ jalte charāġhoñ kī lau
tere aariz pe kirnoñ kā baḌhtā hujūm
terā jhilmil badan terī rañgīñ sabā aur un ke sivā
saare rañgoñ kī maut
sab sadāoñ ke sakte pe girya-kunāñ
bas tirī ik sadā
aur ik vaar aur zahr kā ek jaam
dūsrī samt haiñ
raushnī rañg kirneñ sadā.eñ adā.eñ badan hī badan
ek tere sivā
laakh rañgīn lab
aur āñkhoñ meñ jalte hazāroñ diye
kuchh taqāze bhī aur chand mahrūmiyāñ
man meñ gūñdhī huī chand majbūriyāñ
ik taraf vaar aur zahr kā ek jaam
dūsrī samt kirneñ adā.eñ badan hī badan
faisla saaf hai
jaan majbūr huuñ
maiñ na suqrāt huuñ
aur na mansūr huuñ
ek taraf tere lab
teri aankhon mein jalte charaghon ki lau
tere aariz pe kirnon ka baDhta hujum
tera jhilmil badan teri rangin saba aur un ke siwa
sare rangon ki maut
sab sadaon ke sakte pe girya-kunan
bas teri ek sada
aur ek war aur zahr ka ek jam
dusri samt hain
raushni rang kirnen sadaen adaen badan hi badan
ek tere siwa
lakh rangin lab
aur aankhon mein jalte hazaron diye
kuchh taqaze bhi aur chand mahrumiyan
man mein gundhi hui chand majburiyan
ek taraf war aur zahr ka ek jam
dusri samt kirnen adaen badan hi badan
faisla saf hai
jaan majbur hun
main na suqraat hun
aur na mansur hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.