jaane kyun aisa hun main
lambe vaqt se soch rahā huuñ
jaane kyuuñ aisā huuñ maiñ
milne se ghabrātā huuñ maiñ jhuuT nahīñ kah paatā huuñ
us ke shikve us kī shikāyat jhagḌe se Dar jaatā huuñ
idhar-udhar kī bāteñ mujh ko zarā na ḳhush kar paatī haiñ
jaane kyuuñ aisā huuñ maiñ
dost nahīñ ban paate mere
rishte nahīñ sambhalte haiñ
bejā mohabbat bejā takalluf
donoñ ochhe lagte haiñ
auroñ kī kamiyoñ ko bilkul
achchhā nahīñ kah paatā huuñ
jaane kyuuñ aisā huuñ maiñ
achchhe bhale kāmoñ meñ aksar
der bahut kar detā huuñ
ammī se bāteñ karnī huuñ beTī ke schōl ho jaanā
koī nayā novel paḌhnā ho koī kahānī likhnī ho
sab ko Tāltā rahtā huuñ
jaane kyuuñ aisā huuñ maiñ
bhiiḌ bhare shahroñ se mujh ko
vahshat sī ho jaatī hai
gaañv jañgal sunsān jag.heñ
aksar ḳhush aa jaatī haiñ
koī alhaḌ chehra dekhūñ man ko vo bhā jaatā hai
jaane kyuuñ aisā huuñ maiñ
peḌoñ ke pairāhan dekhūñ phūloñ kī ḳhushbū ko sūñghūñ
rañg-birañgī titliyāñ pakḌūñ halkī halkī būñdeñ bhī
ThanDī naram havā.eñ jab jab chupke se chhū jaatī haiñ
yā koyal kī bolī sun luuñ man byākul ho jaatā hai
jaane kyuuñ aisā huuñ maiñ
naT banjāran sanyāsī aur khel-tamāshe vaale log
khañDar vīrāna jaltī dhuup phūlī sarsoñ dhaan ke khet
laal patañg aur piilī mainā indr-dhanush aur nadī kī dhaar
aate haiñ jab ḳhvāb meñ mere dīvāna ho jaatā huuñ
jaane kyuuñ aisā huuñ maiñ
bahut mujhe achchhā kahte haiñ burā bhī koī kahtā hai
sāmne merī mad.h-sarā.ī pīchhe gaalī detā hai
hamdardī hai koī dikhātā koī sāzish kartā hai
phir bhī chup chup sā rahtā huuñ jaise bahut anjān huuñ maiñ
jaane kyuuñ aisā huuñ maiñ
thoḌī sī āzādī mujh ko thoḌā bahut vaqt kā ziyāñ
kabhī kabhār kī achchhī bāteñ kisī kisī kā sachchā pyaar
chhoTī-moTī koī sharārat khilkhilā kar hañsnā bhī
ye sab ḳhush kar jaate haiñ jab to
lagtā hai ki zinda huuñ
jaane kyuuñ aisā huuñ maiñ
lambe waqt se soch raha hun
jaane kyun aisa hun main
milne se ghabraata hun main jhuT nahin kah pata hun
us ke shikwe us ki shikayat jhagDe se Dar jata hun
idhar-udhar ki baaten mujh ko zara na KHush kar pati hain
jaane kyun aisa hun main
dost nahin ban pate mere
rishte nahin sambhalte hain
beja mohabbat beja takalluf
donon ochhe lagte hain
auron ki kamiyon ko bilkul
achchha nahin kah pata hun
jaane kyun aisa hun main
achchhe bhale kaamon mein aksar
der bahut kar deta hun
ammi se baaten karni hun beTi ke school ho jaana
koi naya nowel paDhna ho koi kahani likhni ho
sab ko Talta rahta hun
jaane kyun aisa hun main
bhiD bhare shahron se mujh ko
wahshat si ho jati hai
ganw jangal sunsan jaghen
aksar KHush aa jati hain
koi alhaD chehra dekhun man ko wo bha jata hai
jaane kyun aisa hun main
peDon ke pairahan dekhun phulon ki KHushbu ko sunghun
rang-birangi titliyan pakDun halki halki bunden bhi
ThanDi naram hawaen jab jab chupke se chhu jati hain
ya koyal ki boli sun lun man byakul ho jata hai
jaane kyun aisa hun main
naT banjaran sanyasi aur khel-tamashe wale log
khanDar virana jalti dhup phuli sarson dhan ke khet
lal patang aur pili maina indr-dhanush aur nadi ki dhaar
aate hain jab KHwab mein mere diwana ho jata hun
jaane kyun aisa hun main
bahut mujhe achchha kahte hain bura bhi koi kahta hai
samne meri madh-sarai pichhe gali deta hai
hamdardi hai koi dikhata koi sazish karta hai
phir bhi chup chup sa rahta hun jaise bahut anjaan hun main
jaane kyun aisa hun main
thoDi si aazadi mujh ko thoDa bahut waqt ka ziyan
kabhi kabhaar ki achchhi baaten kisi kisi ka sachcha pyar
chhoTi-moTi koi shararat khilkhila kar hansna bhi
ye sab KHush kar jate hain jab to
lagta hai ki zinda hun
jaane kyun aisa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.