jaane wale ka nauha
mujhe jaane vaale kā ġham to nahīñ hai
ki jaanā muqaddar hai
lekin mujhe us se ye pūchhnā hai
ki pahle safar kī hikāyāt meñ gar tahī-dāmanī hai
to phir kaun sī manziloñ kī talab meñ
ye azm-e-safar hai
ye azm-e-safar hai to vaqt-e-safar phir
udāsī kī be-nūr chādar lapeTe
nigāhoñ meñ vīrāniyoñ ko basā.e
har ik aane vaale se kyuuñ kah rahā hai
vo aañsū bahā.e
mujhe jaane vaale se ye pūchhnā hai
ki andhe safar kī hikāyāt meñ
gar tahī-dāmanī hai
to ham ko ḳhabar de
ki ham apne pahle safar hī meñ raste badal leñ
mujhe jaane wale ka gham to nahin hai
ki jaana muqaddar hai
lekin mujhe us se ye puchhna hai
ki pahle safar ki hikayat mein gar tahi-damani hai
to phir kaun si manzilon ki talab mein
ye azm-e-safar hai
ye azm-e-safar hai to waqt-e-safar phir
udasi ki be-nur chadar lapeTe
nigahon mein viraniyon ko basae
har ek aane wale se kyun kah raha hai
wo aansu bahae
mujhe jaane wale se ye puchhna hai
ki andhe safar ki hikayat mein
gar tahi-damani hai
to hum ko KHabar de
ki hum apne pahle safar hi mein raste badal len
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 468)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.