jasus dost
aa idhar ai dost aa tū mujh se chhup saktā nahīñ
sa.ī-e-ḳhud-poshī hai kyoñ jab maiñ tujhe taktā nahīñ
garche pahle sūfiyāna svāñg ne dhokā diyā
lekin āñkhoñ kī chamak ne tujh ko pahchanvā diyā
terī āñkhoñ se ayaañ ab tak vo barqī lahar hai
qahr hai terī nigāh-e-tez haañ haañ qahr hai
al-amāñ ye terī āshufta-nigāhī al-amāñ
umr-o-ayyār kī bhī hech haiñ chālākiyāñ
kyoñ maiñ hairān huuñ jo har sū aaj terī dhuum hai
terī fitrat ibtidā se hī tujhe mālūm hai
tujh se mil kar aaj mujh ko madrasa yaad aa gayā
phir vo tiflī kā muraqqā dil mirā taḌpā gayā
mutma.in rahtī na thī terī nigāh-e-justujū
taur tere ārifāna narm terī guftugū
madrase meñ apne ham-umroñ se vo sargoshiyāñ
bar-mahal sargoshiyoñ ke baad vo ḳhāmoshiyāñ
ham-jamā.at dost kahte the tujhe apnā va.ada
tujh ko un ke ḳhāngī jhagḌoñ kī bhī thī justujū
yaad hai mujh se bhī kuchh pūchhā thā ik din ai sharīr
aur phir kahne lagā thā tū mujhe raushan zamīr
har kisī ustād kā tū muñh chaḌhā shāgird thā
naam terā vāqa.ī sab kī zabāñ kā vird thā
har kisī ustād kā tū muñh chaḌhā shāgird thā
naam terā vāqa.ī sab kī zabāñ kā vird thā
terī fitrat qābiliyyat tere kaam aa hī ga.ī
ġhair-mulkī hākimoñ tak tujh ko pahuñchā hī ga.ī
haiñ siyāh aḳhbār saare tere naam aur kaam se
shāyad ab tū aa rahā hai ḳhaas mulk-e-shām se
kar rahā hai sair-e-duniyā ban ke ab jāsūs tū
aah abnā-e-vatan se ḳhaak ho mānūs tū
aa idhar ai dost aa tu mujh se chhup sakta nahin
sai-e-KHud-poshi hai kyon jab main tujhe takta nahin
garche pahle sufiyana swang ne dhoka diya
lekin aankhon ki chamak ne tujh ko pahchanwa diya
teri aankhon se ayan ab tak wo barqi lahar hai
qahr hai teri nigah-e-tez han han qahr hai
al-aman ye teri aashufta-nigahi al-aman
umr-o-ayyar ki bhi hech hain chaalakiyan
kyon main hairan hun jo har su aaj teri dhum hai
teri fitrat ibtida se hi tujhe malum hai
tujh se mil kar aaj mujh ko madrasa yaad aa gaya
phir wo tifli ka muraqqa dil mera taDpa gaya
mutmain rahti na thi teri nigah-e-justuju
taur tere aarifana narm teri guftugu
madrase mein apne ham-umron se wo sargoshiyan
bar-mahal sargoshiyon ke baad wo KHamoshiyan
ham-jamaat dost kahte the tujhe apna wada
tujh ko un ke KHangi jhagDon ki bhi thi justuju
yaad hai mujh se bhi kuchh puchha tha ek din ai sharir
aur phir kahne laga tha tu mujhe raushan zamir
har kisi ustad ka tu munh chaDha shagird tha
nam tera waqai sab ki zaban ka wird tha
har kisi ustad ka tu munh chaDha shagird tha
nam tera waqai sab ki zaban ka wird tha
teri fitrat qabiliyyat tere kaam aa hi gai
ghair-mulki hakimon tak tujh ko pahuncha hi gai
hain siyah aKHbar sare tere nam aur kaam se
shayad ab tu aa raha hai KHas mulk-e-sham se
kar raha hai sair-e-duniya ban ke ab jasus tu
aah abna-e-watan se KHak ho manus tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.