jab binai sawan ne churai ho
ḳhastagī shahr-e-tamannā kī na pūchh
jis kī buniyādoñ meñ
zalzale mauj-e-tah-e-āb se haiñ
dekh ummīd ke nashshe se ye bojhal āñkheñ
dekh saktī haiñ jo
ā.inda kā sūraj zinda
dhuup ke pyāle meñ
ziist kī hariyālī
zard chehre pe ye kaisā hai pareshān lakīroñ kā hujūm
aur kyuuñ ḳhauf kī bad-shakl pachhal-pā.ī koī
tujhe bāhoñ meñ jakaḌne ko hai
zalzale niiñd se bedār huā chāhte haiñ kyaa' to kyā
chhoḌ bhī shahr tamannā kā ḳhayāl
dekh ummīd ke nashe se ye bojhal āñkhkeñ
shahr mismār kahāñ hotā hai
shahr āsār-e-qadīma meñ badal jā.egā
KHastagi shahr-e-tamanna ki na puchh
jis ki buniyaadon mein
zalzale mauj-e-tah-e-ab se hain
dekh ummid ke nashshe se ye bojhal aankhen
dekh sakti hain jo
aainda ka suraj zinda
dhup ke pyale mein
zist ki hariyali
zard chehre pe ye kaisa hai pareshan lakiron ka hujum
aur kyun KHauf ki bad-shakl pachhal-pai koi
tujhe bahon mein jakaDne ko hai
zalzale nind se bedar hua chahte hain kya' to kya
chhoD bhi shahr tamanna ka KHayal
dekh ummid ke nashe se ye bojhal aankhken
shahr mismar kahan hota hai
shahr aasar-e-qadima mein badal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.