jab gaDi waqt par aai
suno pyāre bachcho ye qissa nayā
mire pyāre bhārat ke ik shahr kā
vahāñ rail aatī thī ik der se
yahī us kā ma.amūl thā ḳhair se
sabhī us se rahte the hairāñ bahut
musāfir the us se pareshāñ bahut
savere kā ho vaqt yā shaam kā
use der se aane se kaam thā
magar ek din ye ġhazab kyā huā
na ma.alūm is kā sabab kyā huā
use vaqt par apne pahuñchā huā
har ik shaḳhs hairat se dekhā kiyā
kisī ne qulī se ye pūchhā janāb
haqīqat hai koī yā hai koī ḳhvāb
kabhī vaqt par is ko dekhā nahīñ
ise dekh kar phir kyoñ aa.e yaqīñ
kahā hañs ke us ne ki ai mehrbāñ
ḳhudārā na ho is se yuuñ bad-gumāñ
kabhī vaqt par is ko aanā nahīñ
hamesha rakho dil meñ is par yaqīñ
na samjho ise tum miyāñ jumbo jet
ye gaaḌī to chaubīs ghanTe hai laTe
suno pyare bachcho ye qissa naya
mere pyare bhaarat ke ek shahr ka
wahan rail aati thi ek der se
yahi us ka mamul tha KHair se
sabhi us se rahte the hairan bahut
musafir the us se pareshan bahut
sawere ka ho waqt ya sham ka
use der se aane se kaam tha
magar ek din ye ghazab kya hua
na malum is ka sabab kya hua
use waqt par apne pahuncha hua
har ek shaKHs hairat se dekha kiya
kisi ne quli se ye puchha janab
haqiqat hai koi ya hai koi KHwab
kabhi waqt par is ko dekha nahin
ise dekh kar phir kyon aae yaqin
kaha hans ke us ne ki ai mehrban
KHudara na ho is se yun bad-guman
kabhi waqt par is ko aana nahin
hamesha rakho dil mein is par yaqin
na samjho ise tum miyan jumbo jet
ye gaDi to chaubis ghanTe hai laTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.