jab gadhe ne rag alapa
us kā mausīqār hai ḳhachchar
us kā sā zinda hai bandar
naach rahe haiñ miyāñ machhandar
jaag uThīñ sote aapā
jab gad.he ne raag alāpā
naam hai us kā raag tamannā
ya.anī jo jī chāhe banñā
ullū bolā tātak dhannā
chamgādaḌ ne kiyā siyāpā
jab gad.he ne raag alāpā
bhālū bolā chup kar bhaa.ī
hāthī dene lagā duhā.ī
itnī lambī taan uḌaa.ī
chiḌiyoñ ne fiite se naapā
jab gad.he ne raag alāpā
us ka mausiqar hai KHachchar
us ka sa zinda hai bandar
nach rahe hain miyan machhandar
jag uThin sote aapa
jab gadhe ne rag alapa
nam hai us ka rag tamanna
yani jo ji chahe banna
ullu bola tatak dhanna
chamgadaD ne kiya siyapa
jab gadhe ne rag alapa
bhaalu bola chup kar bhai
hathi dene laga duhai
itni lambi tan uDai
chiDiyon ne fite se napa
jab gadhe ne rag alapa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.