jab hum donon juda hue the
jab ham donoñ judā hue the
us ne pahnī sarmā kī rātoñ meñ nikle chāñd kī saaḌī
maiñ ne pahnā
apnī ban-bāsī kā cholā
us ne māñgī dhuup
jo barfoñ par chamkī thī aur hañsī ke dariyā meñ bahte hue
ham tak pahuñchī thī
maiñ ne māñgī ghaas meñ girī huī āvāz
us ke haath meñ
aaTh pahar ke ḳhvāb kā chhoTā bachcha thā
mere haath meñ vaqt ne apne biij se bāhar paañv rakhā
us kī aañkh meñ naav Duubī
merī aañkh meñ ek parinda Dar ke dubkā
us ke hoñT pe mere naam kā saaya thā
mere hoñT pe us ke jism kī bārish thī
us ke dil meñ gum-gashta tahzīboñ jaisī ḳhāmoshī thī
mere dil meñ tez havā kī yaad meñ khoyā mausam thā
us ke paañv hairat kī sīḌhī se nīche utar rahe the
mere paañv dil kī zamīñ se lipaT rahe the
jab ham donoñ judā hue the
aadhā bosa aadhā aañsū dil meñ rahā
jab hum donon juda hue the
us ne pahni sarma ki raaton mein nikle chand ki saDi
main ne pahna
apni ban-basi ka chola
us ne mangi dhup
jo barfon par chamki thi aur hansi ke dariya mein bahte hue
hum tak pahunchi thi
main ne mangi ghas mein giri hui aawaz
us ke hath mein
aaTh pahar ke KHwab ka chhoTa bachcha tha
mere hath mein waqt ne apne bij se bahar panw rakha
us ki aankh mein naw Dubi
meri aankh mein ek parinda Dar ke dubka
us ke honT pe mere nam ka saya tha
mere honT pe us ke jism ki barish thi
us ke dil mein gum-gashta tahzibon jaisi KHamoshi thi
mere dil mein tez hawa ki yaad mein khoya mausam tha
us ke panw hairat ki siDhi se niche utar rahe the
mere panw dil ki zamin se lipaT rahe the
jab hum donon juda hue the
aadha bosa aadha aansu dil mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.