jab jangal basti mein aaya
mere chāroñ or makānoñ se aatī āvāzeñ
saḌkoñ par lahrātī an-ginat motor-careñ
schōloñ se chhantī zinda hañstī bhin bhin
lamppost se bahtī jagmag dhārā
hañste logoñ se bharpūr dokāneñ saḌkeñ
aḳhbāroñ meñ chhapne vaalī ūñche insānoñ kī bāteñ
jo barsoñ meñ puure hoñge aise mansūboñ kī bāteñ kahtī haiñ
ham sab zinda haiñ
arse tak zinda rahnā hai
agle biis baras meñ bastī
apnī pakkī saḌkeñ le kar
jañgal ke kone kone meñ
bastī kā mahfūz tasavvur pahuñchā degī lekin jañgal
saḌkeñ banñe se pahle hī
jañgal kā qānūn uThā.e aa jaatā hai
bastī jañgal ban jaatī hai
sab zinda haiñ
bastī jañgal
arse tak zinda rahnā hai
bastī jañgal
mere chaaron or makanon se aati aawazen
saDkon par lahraati an-ginat motor-caren
schoolon se chhanti zinda hansti bhin bhin
lamppost se bahti jagmag dhaara
hanste logon se bharpur dokanen saDken
aKHbaron mein chhapne wali unche insanon ki baaten
jo barson mein pure honge aise mansubon ki baaten kahti hain
hum sab zinda hain
arse tak zinda rahna hai
agle bis baras mein basti
apni pakki saDken le kar
jangal ke kone kone mein
basti ka mahfuz tasawwur pahuncha degi lekin jangal
saDken banne se pahle hi
jangal ka qanun uThae aa jata hai
basti jangal ban jati hai
sab zinda hain
basti jangal
arse tak zinda rahna hai
basti jangal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.