jab mohabbat kaDwe samundar mein Dub rahi ho
kyoñ tasavvur kiyā jaa.e
nāpaid havā meñ
ek mazbūt Dor se bañdhe
bahut se rang-birange ġhubāroñ kā
jo hameñ yahāñ se uḌā kar vahāñ le jā sakte hoñ
aur vahāñ se aage
phir aur bhī aage
kyoñ dekhā jaa.e
gadle āsmān par
dhuñdle sitāroñ ke darmiyān
chamakte hue chāñd ko
itnī der tak
ki vo ḳhushk kar de hamārī āñkhoñ kā paanī
kyoñ bāteñ kī jaa.eñ
apne poshīda baaġh ke
rañgā-rañg phūloñ ke darmiyān
lahlahāte surḳh gulāb se
yā sabz peḌoñ se
yā peḌoñ meñ chhupī madhur koyal se
kyoñ mohabbat kī jaa.e
jab log DhūñD rahe hoñ
dūsroñ ko mārne ke nit na.e asbāb
aur soch rahe hoñ
aziyyat-dahī ke nit na.e tarīqe
kyoñ na ḳhālī kiyā jaa.e
kaḌve samundar se bane zahr kā piyāla
jab mohabbat kaḌve samundar meñ Duub rahī ho
kyon tasawwur kiya jae
napaid hawa mein
ek mazbut Dor se bandhe
bahut se rang-birange ghubaron ka
jo hamein yahan se uDa kar wahan le ja sakte hon
aur wahan se aage
phir aur bhi aage
kyon dekha jae
gadle aasman par
dhundle sitaron ke darmiyan
chamakte hue chand ko
itni der tak
ki wo KHushk kar de hamari aankhon ka pani
kyon baaten ki jaen
apne poshida bagh ke
ranga-rang phulon ke darmiyan
lahlahate surKH gulab se
ya sabz peDon se
ya peDon mein chhupi madhur koyal se
kyon mohabbat ki jae
jab log DhunD rahe hon
dusron ko marne ke nit nae asbab
aur soch rahe hon
aziyyat-dahi ke nit nae tariqe
kyon na KHali kiya jae
kaDwe samundar se bane zahr ka piyala
jab mohabbat kaDwe samundar mein Dub rahi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.