jab sham shahr mein aati hai
jab shaam shahr meñ aatī hai
maiñ is ko ghar le aatā huuñ
aur biite dinoñ kī yādoñ se
apne man ko bahlātā huuñ
in yādoñ meñ koī apnā sā
chehra ye mujh se kahtā hai
kyā baat hai har pal dil terā
kyuuñ khoyā khoyā rahtā hai
phir patthar kī dīvāroñ par
kuchh saa.e se lahrāte haiñ
aur ajab tarah se hañs hañs kar
jaane kyuuñ mujhe Darāte haiñ
jab sham shahr mein aati hai
main is ko ghar le aata hun
aur bite dinon ki yaadon se
apne man ko bahlata hun
in yaadon mein koi apna sa
chehra ye mujh se kahta hai
kya baat hai har pal dil tera
kyun khoya khoya rahta hai
phir patthar ki diwaron par
kuchh sae se lahraate hain
aur ajab tarah se hans hans kar
jaane kyun mujhe Daraate hain
- Book : siip-volume-46 (Pg. 166)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.