jab sitara thak gaya
jab sitāra thak gayā
gardish se roz-o-shab kī
tū baiTh gayā ghus kar
fōtball stadium meñ
cinema-hall meñ
shādī kī taqrīb meñ
janāze kī namāz meñ
vo koshish kar rahā thā
dekhne kī aur samajhne kī
taaki hañsānā shurūa kar de
rone ke maqām par
yā us ke bar-aks
vo āhista āhista sab kuchh jaan jaatā
aur shāyad sab Thiik kar detā
magar phir bezār ho kar so gayā
merī qismat kā sitāra
jab sitara thak gaya
gardish se roz-o-shab ki
tu baiTh gaya ghus kar
football stadium mein
cinema-hall mein
shadi ki taqrib mein
janaze ki namaz mein
wo koshish kar raha tha
dekhne ki aur samajhne ki
taki hansana shurua kar de
rone ke maqam par
ya us ke bar-aks
wo aahista aahista sab kuchh jaan jata
aur shayad sab Thik kar deta
magar phir bezar ho kar so gaya
meri qismat ka sitara
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 549)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.