jab tanhai charKHa kat rahi ho
udāsī us ke pahlū meñ sar nehuḌā.e baiThī ho
charḳha kātne vaale haath
tezī se charḳha chalā rahe haiñ
koī unheñ roktā kyoñ nahīñ
us kī chīḳh-o-pukār ne
sannāTe ko mab.hūt kar diyā hai
udāsī pahlū badal-badal kar baiTh rahī hai
bas Darī huī hai
agar shaam gahrī ho ga.ī to
charḳha nazar nahīñ aa.egā
udāsī bhī chhup jā.egī
bas tanhā.ī rah jā.egī
aur charḳhe kī chīḳh-o-pukār
udasi us ke pahlu mein sar nehuDae baiThi ho
charKHa katne wale hath
tezi se charKHa chala rahe hain
koi unhen rokta kyon nahin
us ki chiKH-o-pukar ne
sannaTe ko mabhut kar diya hai
udasi pahlu badal-badal kar baiTh rahi hai
bas Dari hui hai
agar sham gahri ho gai to
charKHa nazar nahin aaega
udasi bhi chhup jaegi
bas tanhai rah jaegi
aur charKHe ki chiKH-o-pukar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.