jab tez bhuk lagi ho
jab tez bhuuk lagī ho
maiñ apne jism se khelnā shurūa kar detā huuñ
bahut saada sā khel hai ye
is khel meñ hamārā dil
baḌī āsānī se
ek phūlī huī chapātī meñ tabdīl ho jaatā hai
aur hamārā jism
nokīle dāñtoñ kī ek qatār meñ
shāyad aap kabhī is tajrabe se nahīñ guzre
shāyad kabhī aap kī āñteñ aiñTh kar dohrī nahīñ huiiñ
shāyad kabhī bhuuk se niDhāl ho kar
aap ke kisī daañt kī nok
aap ke apne hoñT meñ paivast nahīñ huī
shāyad aap kī zabān ne
apne ḳhuun kā zā.iqa nahīñ chakhā
ye bāteñ aap ke liye ajiib haiñ
shāyad nā-qābil-e-yaqīn bhī
lekin baḌī āsānī se har baat samajh aa jaatī hai
jab aadmī bhūkā ho
itnā bhūkā
ki ye andāza lagāne ke qābil hī na rahe
ki vo
roTī kī phūlī huī chapātī hai
yā bhuuk
jab tez bhuk lagi ho
main apne jism se khelna shurua kar deta hun
bahut sada sa khel hai ye
is khel mein hamara dil
baDi aasani se
ek phuli hui chapati mein tabdil ho jata hai
aur hamara jism
nokile danton ki ek qatar mein
shayad aap kabhi is tajrabe se nahin guzre
shayad kabhi aap ki aanten ainTh kar dohri nahin huin
shayad kabhi bhuk se niDhaal ho kar
aap ke kisi dant ki nok
aap ke apne honT mein paiwast nahin hui
shayad aap ki zaban ne
apne KHun ka zaiqa nahin chakha
ye baaten aap ke liye ajib hain
shayad na-qabil-e-yaqin bhi
lekin baDi aasani se har baat samajh aa jati hai
jab aadmi bhuka ho
itna bhuka
ki ye andaza lagane ke qabil hi na rahe
ki wo
roTi ki phuli hui chapati hai
ya bhuk
- Book : aaj (Pg. 347)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.