jab tere shahr se guzarta hun
kis tarah roktā huuñ ashk apne
kis qadar dil pe jabr kartā huuñ
aaj bhī kār-zār-e-hastī meñ
jab tire shahr se guzartā huuñ
is qadar bhī nahīñ mujhe ma.alūm
kis mohalle meñ hai makāñ terā
kaun sī shāḳh-e-gul pe raqsāñ hai
rashk-e-firdaus āshiyāñ terā
jaane kin vādiyoñ meñ utrā hai
ġhairat-e-husn kārvāñ terā
kis se pūchhūñgā maiñ ḳhabar terī
kaun batlā.egā nishāñ terā
terī rusvā.iyoñ se Dartā huuñ
jab tire shahr se guzartā huuñ
hāl-e-dil bhī na kah sakā garche
tū rahī muddatoñ qarīb mire
kuchh tirī azmatoñ kā Dar bhī thā
kuchh ḳhayālāt the ajiib mire
āḳhir-e-kār vo ghaḌī aa.ī
bār-var ho ga.e raqīb mire
tū mujhe chhoḌ kar chalī bhī ga.ī
ḳhair qismat mirī nasīb mire
ab maiñ kyuuñ tujh ko yaad kartā huuñ
jab tire shahr se guzartā huuñ
go zamāna tirī mohabbat kā
ek bhūlī huī kahānī hai
tere kūche meñ umr-bhar na ga.e
saarī duniyā kī ḳhaak chhānī hai
lazzat-e-vasl ho ki zaḳhm-e-firāq
jo bhī ho terī mehrbānī hai
kis tamannā se tujh ko chāhā thā
kis mohabbat se haar maanī hai
apnī qismat pe naaz kartā huuñ
jab tire shahr se guzartā huuñ
ashk palkoñ pe aa nahīñ sakte
dil meñ hai terī aabrū ab bhī
tujh se raushan hai kā.enāt mirī
tere jalve haiñ chār-sū ab bhī
apne ġham-ḳhāna-e-taḳhayyul meñ
tujh se hotī hai guftugū ab bhī
tujh ko vīrāna-e-tasvvur meñ
dekh letā huuñ rū-ba-rū ab bhī
ab bhī maiñ tujh ko pyaar kartā huuñ
jab tire shahr se guzartā huuñ
aaj bhī kār-zār-e-hastī meñ
tū agar ek baar mil jaa.e
kisī mahfil meñ sāmnā ho jaa.e
yā sar-e-rahguzār mil jaa.e
ik nazar dekh le mohabbat se
ek lamhe kā pyaar mil jaa.e
ārzūoñ ko chain aa jaa.e
hasratoñ ko qarār mil jaa.e
jaane kyā kyā ḳhayāl kartā huuñ
jab tire shahr se guzartā huuñ
aaj maiñ aise maqām par huuñ jahāñ
rasan-o-dār kī bulandī hai
mere ash.ār kī latāfat meñ
tere kirdār kī bulandī hai
terī majbūriyoñ kī azmat hai
mere īsār kī bulandī hai
sab tire dard kī ināyat hai
sab tire pyaar kī bulandī hai
tere ġham se nibāh kartā hai
jab tire shahr se guzartā huuñ
tujh se koī gila nahīñ mujh ko
maiñ tujhe bevafā nahīñ kahtā
terā milnā ḳhayāl-o-ḳhvāb huā
phir bhī nā-āshnā nahīñ kahtā
vo jo kahtā thā mujh ko āvāra
maiñ use bhī burā nahīñ kahtā
varna ik be-navā mohabbat meñ
dil ke luTne pe kyā nahīñ kahtā
maiñ to mushkil se aah bhartā huuñ
jab tire shahr se guzartā huuñ
koī pursān-e-hāl ho to kahūñ
kaisī āñdhī chalī hai tere baa'd
din guzārā hai kis tarah maiñ ne
raat kaise Dhalī hai tere baa'd
sham-e-ummīd sarsar-e-ġham meñ
kis bahāne jalī hai tere baa'd
jis meñ koī makīñ na rahtā ho
dil vo suunī galī hai tere baa'd
roz jiitā huuñ roz martā huuñ
jab tire shahr se guzartā huuñ
lekin ai sākin-e-harīm-e-ḳhayāl
yaad hai daur-e-kaif-o-kam ki nahīñ
kyā kabhī tere dil pe guzrā hai
merī mahrūmiyoñ kā ġham ki nahīñ
merī barbādiyoñ kā sun kar haal
aañkh terī huī hai nam ki nahīñ
aur is kār-zār-e-hastī meñ
phir kabhī mil sakeñge ham ki nahīñ
Darte Darte savāl kartā huuñ
jab tire shahr se guzartā huuñ
kis tarah rokta hun ashk apne
kis qadar dil pe jabr karta hun
aaj bhi kar-zar-e-hasti mein
jab tere shahr se guzarta hun
is qadar bhi nahin mujhe malum
kis mohalle mein hai makan tera
kaun si shaKH-e-gul pe raqsan hai
rashk-e-firdaus aashiyan tera
jaane kin wadiyon mein utra hai
ghairat-e-husn karwan tera
kis se puchhunga main KHabar teri
kaun batlaega nishan tera
teri ruswaiyon se Darta hun
jab tere shahr se guzarta hun
haal-e-dil bhi na kah saka garche
tu rahi muddaton qarib mere
kuchh teri azmaton ka Dar bhi tha
kuchh KHayalat the ajib mere
aaKHir-e-kar wo ghaDi aai
bar-war ho gae raqib mere
tu mujhe chhoD kar chali bhi gai
KHair qismat meri nasib mere
ab main kyun tujh ko yaad karta hun
jab tere shahr se guzarta hun
go zamana teri mohabbat ka
ek bhuli hui kahani hai
tere kuche mein umr-bhar na gae
sari duniya ki KHak chhani hai
lazzat-e-wasl ho ki zaKHm-e-firaq
jo bhi ho teri mehrbani hai
kis tamanna se tujh ko chaha tha
kis mohabbat se haar mani hai
apni qismat pe naz karta hun
jab tere shahr se guzarta hun
ashk palkon pe aa nahin sakte
dil mein hai teri aabru ab bhi
tujh se raushan hai kaenat meri
tere jalwe hain chaar-su ab bhi
apne gham-KHana-e-taKHayyul mein
tujh se hoti hai guftugu ab bhi
tujh ko virana-e-taswwur mein
dekh leta hun ru-ba-ru ab bhi
ab bhi main tujh ko pyar karta hun
jab tere shahr se guzarta hun
aaj bhi kar-zar-e-hasti mein
tu agar ek bar mil jae
kisi mahfil mein samna ho jae
ya sar-e-rahguzar mil jae
ek nazar dekh le mohabbat se
ek lamhe ka pyar mil jae
aarzuon ko chain aa jae
hasraton ko qarar mil jae
jaane kya kya KHayal karta hun
jab tere shahr se guzarta hun
aaj main aise maqam par hun jahan
rasan-o-dar ki bulandi hai
mere ashaar ki latafat mein
tere kirdar ki bulandi hai
teri majburiyon ki azmat hai
mere isar ki bulandi hai
sab tere dard ki inayat hai
sab tere pyar ki bulandi hai
tere gham se nibah karta hai
jab tere shahr se guzarta hun
tujh se koi gila nahin mujh ko
main tujhe bewafa nahin kahta
tera milna KHayal-o-KHwab hua
phir bhi na-ashna nahin kahta
wo jo kahta tha mujh ko aawara
main use bhi bura nahin kahta
warna ek be-nawa mohabbat mein
dil ke luTne pe kya nahin kahta
main to mushkil se aah bharta hun
jab tere shahr se guzarta hun
koi pursan-e-haal ho to kahun
kaisi aandhi chali hai tere ba'd
din guzara hai kis tarah main ne
raat kaise Dhali hai tere ba'd
sham-e-ummid sarsar-e-gham mein
kis bahane jali hai tere ba'd
jis mein koi makin na rahta ho
dil wo suni gali hai tere ba'd
roz jita hun roz marta hun
jab tere shahr se guzarta hun
lekin ai sakin-e-harim-e-KHayal
yaad hai daur-e-kaif-o-kam ki nahin
kya kabhi tere dil pe guzra hai
meri mahrumiyon ka gham ki nahin
meri barbaadiyon ka sun kar haal
aankh teri hui hai nam ki nahin
aur is kar-zar-e-hasti mein
phir kabhi mil sakenge hum ki nahin
Darte Darte sawal karta hun
jab tere shahr se guzarta hun
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 187)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.