jab tumne mujhe
apne ahāte se khadeḌā thā
mere saath
ḳhudā bhī be-ghar ho gayā thā
tum
merī āñkhoñ se darmāñda ḳhvāb
haTā sakte the
yā phir
mere man ke aañsū
poñchh sakte the
maiñ yuuñ
kashkol liye
is shahr meñ
apnā.iyateñ na māñgtī
jahāñ bhagvān bhī
bhiik meñ
paise māñgtā hai
saḌkoñ pe
apne ahate se khadeDa tha
mere sath
KHuda bhi be-ghar ho gaya tha
tum
meri aankhon se darmanda KHwab
haTa sakte the
ya phir
mere man ke aansu
ponchh sakte the
main yun
kashkol liye
is shahr mein
apnaiyaten na mangti
jahan bhagwan bhi
bhik mein
paise mangta hai
saDkon pe
- Book : Man Baani (Pg. 422)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.