jabr-e-haalat
tirī mashrūt tavajjoh mirī pāband nazar
jabr-e-hālāt kā ehsās jagā detī haiñ
chashm-e-bedār kā har ḳhvāb sulā detī haiñ
chāñd sūraj mirī āñkhoñ ke bujhā detī haiñ
bā hama ġham ba hama lazzat-e-āzār-e-sitam
dekhnā Thahrā mujhe ārzū-e-vasl kā ḳhuuñ
shaḳhsiyat kā tirī jaadū ki mohabbat kā fusūñ
bārhā chāhūñ magar tark-e-tamannā na karūñ
zindagī vaqt ke chehre pe lahū maltī hai
jabr-e-hālāt kī zulmat meñ sahar paltī hai
teri mashrut tawajjoh meri paband nazar
jabr-e-haalat ka ehsas jaga deti hain
chashm-e-bedar ka har KHwab sula deti hain
chand suraj meri aankhon ke bujha deti hain
ba hama gham ba hama lazzat-e-azar-e-sitam
dekhna Thahra mujhe aarzu-e-wasl ka KHun
shaKHsiyat ka teri jadu ki mohabbat ka fusun
barha chahun magar tark-e-tamanna na karun
zindagi waqt ke chehre pe lahu malti hai
jabr-e-haalat ki zulmat mein sahar palti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.