jaddai
vo soz-o-sāz-e-mohabbat vo pur-fusūñ rāteñ
vo halkā halkā tarannum vo jāñ-fazā bāteñ
vo naddiyoñ kā talātum vo pattharoñ kā ḳharosh
vo māhtāb-e-javāñ zard pur-sukūñ ḳhāmosh
vo bahke bahke manāzir fusūñ-navāz havā
vo nīl-kañTh vo chashme pe shārkoñ kī sadā
tilism-e-ahd-e-mohabbat kī mad-bharī rāheñ
vafūr-e-kaif-o-junūñ kī hasīñ jilau-gāheñ
mire jahān-e-mohabbat kī yādgāreñ haiñ
surūd-o-sher-o-taġhazzul kī rahguzāreñ haiñ
nigāh-e-shauq vo andāz-e-pur-fusūñ ya.anī
na.e na.e vo matālib vo jazb-e-bā-ma.anī
vo tarz-e-ḳhās vo aqdār kī na.ī bāteñ
vo tajrabāt vo afkār kī na.ī bāteñ
taḳhaiyyulāt kī duniyā ko jagmagātī thiiñ
tasavvurāt kī āñkhoñ pe kauñd jaatī thiiñ
agarche aane ko aatī haiñ chaudhvīñ rāteñ
jhijak jhijak ke nigāhoñ meñ pur-fusūñ bāteñ
vo soz-o-sāz-e-mohabbat kī jaan ban ban kar
surūd-o-sher hasīñ pāyaloñ se chhan chhan kar
vo chāñdnī kī hasīñ vādiyoñ meñ raqsāñ haiñ
vo daur-e-paikar-e-rūmāñ junūñ-ba-dāmāñ haiñ
vo sāhirāna tarānoñ ko gungunāte haiñ
vo shā.irāna tamannā ko gudgudāte haiñ
magar maiñ bekas-o-āvāra phirtā rahtā huuñ
qadam qadam pe sañbhaltā huuñ girtā rahtā huuñ
wo soz-o-saz-e-mohabbat wo pur-fusun raaten
wo halka halka tarannum wo jaan-faza baaten
wo naddiyon ka talatum wo pattharon ka KHarosh
wo mahtab-e-jawan zard pur-sukun KHamosh
wo bahke bahke manazir fusun-nawaz hawa
wo nil-kanTh wo chashme pe shaarkon ki sada
tilism-e-ahd-e-mohabbat ki mad-bhari rahen
wafur-e-kaif-o-junun ki hasin jilau-gahen
mere jahan-e-mohabbat ki yaadgaren hain
surud-o-sher-o-taghazzul ki rahguzaren hain
nigah-e-shauq wo andaz-e-pur-fusun yani
nae nae wo matalib wo jazb-e-ba-mani
wo tarz-e-KHas wo aqdar ki nai baaten
wo tajrabaat wo afkar ki nai baaten
taKHaiyyulat ki duniya ko jagmagati thin
tasawwuraat ki aankhon pe kaund jati thin
agarche aane ko aati hain chaudhwin raaten
jhijak jhijak ke nigahon mein pur-fusun baaten
wo soz-o-saz-e-mohabbat ki jaan ban ban kar
surud-o-sher hasin payalon se chhan chhan kar
wo chandni ki hasin wadiyon mein raqsan hain
wo daur-e-paikar-e-ruman junun-ba-daman hain
wo sahirana taranon ko gungunate hain
wo shairana tamanna ko gudgudate hain
magar main bekas-o-awara phirta rahta hun
qadam qadam pe sanbhalta hun girta rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.