jadid shaeri
maiñ thā jadīd shā.erī karne ke mood meñ
zehn-e-rasā se raat taḳhayyul uḌā rahā
mafhūm-e-sher ek taraf ko paḌā rahā
aaya mirī zabāñ pe na felun na fā.elun
chhoTā rahā koī koī misrā baḌā rahā
thā is udheḌ-bun meñ ki kuchh aa.iiñ shā.erāt
jin kā qadīm rang meñ jhanDā gaḌā rahā
maiñ ne kahā ki kuchh kaho rang-e-jadīd meñ
sun kar ye un kā rū-e-suḳhan faq paḌā rahā
par phaḌphaḌā ke rah ga.iiñ be-chārī shā.erāt
pā-e-ḳhayāl apnī jagah par aḌā rahā
bazm-e-jadīd meñ na ga.iiñ shab kī murġhiyāñ
sūraj ko choñch meñ liye murġhā khaḌā rahā
main tha jadid shaeri karne ke mood mein
zehn-e-rasa se raat taKHayyul uDa raha
mafhum-e-sher ek taraf ko paDa raha
aaya meri zaban pe na felun na faelun
chhoTa raha koi koi misra baDa raha
tha is udheD-bun mein ki kuchh aain shaeraat
jin ka qadim rang mein jhanDa gaDa raha
main ne kaha ki kuchh kaho rang-e-jadid mein
sun kar ye un ka ru-e-suKHan faq paDa raha
par phaDphaDa ke rah gain be-chaari shaeraat
pa-e-KHayal apni jagah par aDa raha
bazm-e-jadid mein na gain shab ki murghiyan
suraj ko chonch mein liye murgha khaDa raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.