jadid-tar
tujh se ik umr kā paimāñ thā magar merā nasīb
inqilābāt kā mahkūm huā jaatā hai
vo tasavvur jo ka.ī baar nikhārā maiñ ne
itnā mauhūm hai ma.adūm huā jaatā hai
terī āñkhoñ meñ jagā.e the sitāre maiñ ne
aur chhalkā.e the gāloñ meñ hayāoñ ke ayāġh
koī ehsās na thā vaqt kī gardish kā mujhe
varna kyā raat se miltā nahīñ sūraj kā surāġh
is chakā-chauñd meñ ab tujh ko pukārūñ kaise
sail-e-anvār meñ tāroñ kā guzar kyā hogā
tah-e-dāman jo charāġhoñ ko chhupā.e rakhūñ
sochtā huuñ ki phir anjām-e-safar kyā hogā
mujh ko āvāz na de vaqt ke sahrāoñ meñ
maiñ bahut duur bahut duur nikal aayā huuñ
maiñ ufuq par bhī nahīñ huuñ maiñ falak par bhī nahīñ
maiñ tire māzī-e-marhūm kā ik saaya huuñ
tujh se ek umr ka paiman tha magar mera nasib
inqilabaat ka mahkum hua jata hai
wo tasawwur jo kai bar nikhaara main ne
itna mauhum hai madum hua jata hai
teri aankhon mein jagae the sitare main ne
aur chhalkae the galon mein hayaon ke ayagh
koi ehsas na tha waqt ki gardish ka mujhe
warna kya raat se milta nahin suraj ka suragh
is chaka-chaund mein ab tujh ko pukarun kaise
sail-e-anwar mein taron ka guzar kya hoga
tah-e-daman jo charaghon ko chhupae rakhun
sochta hun ki phir anjam-e-safar kya hoga
mujh ko aawaz na de waqt ke sahraon mein
main bahut dur bahut dur nikal aaya hun
main ufuq par bhi nahin hun main falak par bhi nahin
main tere mazi-e-marhum ka ek saya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.