jagmaga uTTha hai rang manch
aao zindagī zindagī kheleñ
ye jhuuT hai ki maiñ tumhāre liye chāñd toḌ ke lā saktā huuñ
par is ḳhayāl kī sachchā.ī ko hī ishq kahte haiñ
ruuh jab jaltī hai to kundan bantā hai
terī bevafā.ī kī is se achchhī vaj.h aur kyā ho saktī hai
sub.h se roTī kamāne meñ lagā huā huuñ
ab jab shaam ho ga.ī hai to sharāb piine kā man hotā hai
mere dāġh-e-dil meñ ek charāġh aisā bhī hai
jo amāvas kī raat meñ merī bujhtī sāñsoñ ko garmāhaT detā hai
aadmī kī khudā.ī kā vaqt kyuuñ nahīñ aatā
duniyā mar rahī hai koī use bachāne kyuuñ nahīñ aatā
tere aane se vo tamām adhūre ḳhvāb puure ho ga.e
jinheñ dekhnā nā merī taqdīr meñ thā aur nā tadbīr meñ
maiñ ek mash.hūr shā.ir nahīñ
par us se merī shā.erī meñ dard kam to nahīñ ho jaatā
kore kāġhaz par bhī kuchh shabd baste haiñ
ham bas unheñ paḌh nahīñ paate
kaun kis ke ḳhilāf gavāhī de
sab ke man meñ ek chor to hai hī
merī gavāhī us kī jaan le saktī hai
gavāhī nā dī to merā zamīr mujhe maar degā
chand dostoñ ke afsāne ab parā.e ho ga.e haiñ
ab khoTe sikke jeb meñ rakhne kā man nahīñ hotā
jab bhī kisī shamshān ke paas se guzartā huuñ
apnī auqāt pata lag jaatī hai
kal raat ā.īna dekh kar kyuuñ nahīñ soyā
sub.h apne hī ghar meñ parāyā ban gayā
har shahr har galī meñ sirf logoñ kī chīḳheñ sunā.ī detīñ haiñ
raam rahīm ke is jhagḌe meñ un donoñ ke alāva sab haiñ
aao zindagi zindagi khelen
ye jhuT hai ki main tumhaare liye chand toD ke la sakta hun
par is KHayal ki sachchai ko hi ishq kahte hain
ruh jab jalti hai to kundan banta hai
teri bewafai ki is se achchhi wajh aur kya ho sakti hai
subh se roTi kamane mein laga hua hun
ab jab sham ho gai hai to sharab pine ka man hota hai
mere dagh-e-dil mein ek charagh aisa bhi hai
jo amawas ki raat mein meri bujhti sanson ko garmahaT deta hai
aadmi ki khudai ka waqt kyun nahin aata
duniya mar rahi hai koi use bachane kyun nahin aata
tere aane se wo tamam adhure KHwab pure ho gae
jinhen dekhna na meri taqdir mein tha aur na tadbir mein
main ek mashhur shair nahin
par us se meri shaeri mein dard kam to nahin ho jata
kore kaghaz par bhi kuchh shabd baste hain
hum bas unhen paDh nahin pate
kaun kis ke KHilaf gawahi de
sab ke man mein ek chor to hai hi
meri gawahi us ki jaan le sakti hai
gawahi na di to mera zamir mujhe mar dega
chand doston ke afsane ab parae ho gae hain
ab khoTe sikke jeb mein rakhne ka man nahin hota
jab bhi kisi shamshan ke pas se guzarta hun
apni auqat pata lag jati hai
kal raat aaina dekh kar kyun nahin soya
subh apne hi ghar mein paraya ban gaya
har shahr har gali mein sirf logon ki chiKHen sunai detin hain
ram rahim ke is jhagDe mein un donon ke alawa sab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.