jahan-e-nau
mujhe ḳhudā ne ḳhilāfat kā sharaf baḳhshā hai
mire hī zer-e-nagīñ is jahāñ ko rakkhā hai
magar ajiib nizām-e-jahāñ kī hālat hai
mire hī dosh pe aalam kā bār-e-ḳhidmat hai
mashaqqateñ hī likhī haiñ mire muqaddar meñ
nahīñ sukūn kabhī mere qalb-e-muztar meñ
hai qasd ab ki karūñ ik jahān-e-nau ābād
rahūñ tafakkur-e-fardā-o-dosh se āzād
jahāñ ki kashmakash-e-zīst kā nishāñ na ho
hayāt-e-sabr-o-mashaqqat kā imtihān na ho
ye sar-zamīñ ye samundar ye āsmān na ho
darūn-e-dām-e-qafas merā āshiyān na ho
jahāñ ki ġham kī ghaTā ruuh pe na chhāne paa.e
jumūd ālam-e-ehsās par na aane paa.e
jahāñ ki nuur rahe mere dil kī bastī meñ
shabāb-o-sher ke jalve hoñ merī hastī meñ
vahāñ maiñ dil kī umañgoñ ke giit gā.uñgā
vahāñ maiñ husn ko apnā ḳhudā banā.ūñgā
mujhe KHuda ne KHilafat ka sharaf baKHsha hai
mere hi zer-e-nagin is jahan ko rakkha hai
magar ajib nizam-e-jahan ki haalat hai
mere hi dosh pe aalam ka bar-e-KHidmat hai
mashaqqaten hi likhi hain mere muqaddar mein
nahin sukun kabhi mere qalb-e-muztar mein
hai qasd ab ki karun ek jahan-e-nau aabaad
rahun tafakkur-e-farda-o-dosh se aazad
jahan ki kashmakash-e-zist ka nishan na ho
hayat-e-sabr-o-mashaqqat ka imtihan na ho
ye sar-zamin ye samundar ye aasman na ho
darun-e-dam-e-qafas mera aashiyan na ho
jahan ki gham ki ghaTa ruh pe na chhane pae
jumud aalam-e-ehsas par na aane pae
jahan ki nur rahe mere dil ki basti mein
shabab-o-sher ke jalwe hon meri hasti mein
wahan main dil ki umangon ke git gaunga
wahan main husn ko apna KHuda banaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.