Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan-naward

Irfan Shahood

jahan-naward

Irfan Shahood

MORE BYIrfan Shahood

    chāk-e-taḳhlīq par ek jaisī aadam shakleñ baneñ

    ruuh ābiyārī bhī yaksāñ huī

    be-karāñ zindagī duā.eñ liye kitne shams-o-qamar roz ugne lage

    sabz chāragarī ke sahīfe dimāġhoñ banjar tahoñ meñ farozāñ hue

    mausamoñ ke jazīre zamīñ ke badan se nikāle ga.e

    raushnī ke zaḳhīre chhupā.e ga.e āsmāñ meñ kahīñ

    phir ta.affun-zada chand zehnoñ meñ taḳhrīb gaḌgaḌāhaT huī

    be-zamīroñ ne rabb-e-musāvāt ke aa.ine reza-reza kiye

    sharq aur ġharb meñ bhaiñs us huī

    jo ma.īshat lāThī chalāne meñ ayyār hai

    phir bhī kuchh sar-phire

    qīr-gūñ jañgaloñ barf-zāroñ jānib

    mashaqqat bharī rasm-e-duniyā nibhāne chale aa.e haiñ

    un bāteñ musāvāt ruup haiñ

    un ke siine samāvāt ke aa.ine

    un ke hoñToñ pe rang-e-mohabbat ayaañ

    un ke hāthoñ meñ parcham rahe amn

    chaak-e-taKHliq par ek jaisi hi aadam ki shaklen banen

    ruh ki aabiyari bhi yaksan hui

    be-karan zindagi ki duaen liye kitne shams-o-qamar roz ugne lage

    sabz chaaragari ke sahife dimaghon ki banjar tahon mein farozan hue

    mausamon ke jazire zamin ke badan se nikale gae

    raushni ke zaKHire chhupae gae aasman mein kahin

    phir taffun-zada chand zehnon mein taKHrib ki gaDgaDahaT hui

    be-zamiron ne rabb-e-musawat ke aaine reza-reza kiye

    sharq aur gharb mein bhains us ki hui

    jo maishat ki laThi chalane mein ayyar hai

    phir bhi kuchh sar-phire

    qir-gun jangalon barf-zaron ki jaanib

    mashaqqat bhari rasm-e-duniya nibhane chale aae hain

    un ki baaten musawat ka rup hain

    un ke sine samawat ke aaine

    un ke honTon pe rang-e-mohabbat ayan

    un ke hathon mein parcham rahe amn ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now