jahan zad
ai hasan kūza-gar
tū ne jaanā ki maiñ
jism-o-jāñ ke ta.alluq kī raushan guzargāh se
ik jahāñ kā safar jhel kar us
rifāqat kī dahlīz tak aa.ī huuñ
ai hasan kaash tū jaan saktā
ki is sahn ḳhāna se dahlīz tak ke safar meñ
jahāñ zaad ko kyuuñ zamāne lage haiñ
hasan is safar meñ jahāñ zaad ko
ek ik gaam par vaqt ke tāziyāne lage haiñ
hasan vaqt mālik bhī hai devtā bhī
muhāfiz bhī hai aur ḳhvāja-sarā bhī
ye dekhā hai maiñ ne
ki jab bhī darīchoñ meñ taaza shagūfa khulā hai
havā se vo hans kar zarā sā gale bhī milā hai
to ḳhvāja-sarā kī nazar se kahāñ bach sakā hai
magar dekh mujh ko ki maiñ ne yahāñ Thiik nau saal tak
phuul kāḌhe haiñ ḳhvāboñ ke bistar pe lekin
abhī tak koī in pe soyā nahīñ
phuul taaza shagufta aur āzurda haiñ
maiñ ne nau saal sūrat-garī kī hai tere har ik lams kī
raat bhar maiñ ne āñkheñ bhigoī haiñ kūzoñ meñ.... aur sub.h dam
halaq ko tar kiyā āñsūoñ se bahut
ye masāfat ye nau saal kī be-mahābā masāfat
tire dar ke aage mujhe khīñch laa.ī
magar tū yahāñ chaak par apnī dhun meñ magan hai nigāheñ uThā
dekh to maiñ jahāñ zaad terī tire sāmne huuñ
magar tū ne sach hī kahā thā
zamāna jahāñ zaad vo chaak hai
jis pe mīna-o-jām-o-subū aur fānūs-o-gul-dāñ kī mānind
bante bigaḌte haiñ insāñ
so ab ham
jo sadiyoñ kī lambī masāfat se lauTe haiñ
to apne ranjūr kūzoñ meñ jhojhā huā hai
ye terā qusūr aur na merī ḳhatā hai
koī kūza-gar to hamārā bhī hogā
so ye us kī hikmat
ki us ne hameñ chaak par Dhālte vaqt
lamhoñ kā pher is nazākat se rakhā
ki ham apnī apnī jagah sirf shashdar khaḌe the
ka.ī dast-e-chābuk ke be-jān putle
mare aur tire darmiyāñ saj ga.e the
so ye us kī hikmat
magar vaqt is darja saffāk kyoñ hai
ye mashshāta-e-zindagī itnī chālāk kyoñ hai
mare aur tire darmiyāñ nau baras jis ne lā kar bichhā.e
ye nau saal kis taur maiñ ne bitā.e
ki sāhil se kashtī tak aate hue
jaise taḳhte ke hamrāh dil Dagmagā.e
vahī nau baras jo mire aur tire darmiyāñ
vaqt kī kirchiyāñ haiñ
zamāna bhī kaisī ajab kahkashāñ hai
ye duniyā.e sayyārgāñ hai ki jis meñ hazāroñ kavākib
musalsal kisī chaak par ghūmte haiñ
ye ajsām ke gird ajsām kā raqs hī zindagī hai mirī jaañ
mirī jaan tū chaak ke saath miTTī ke rishte ko pahchāntā thā
hasan tū ne miTī ke be-jān putloñ se
taḳhlīq ke jāñ-gusil marhaloñ meñ
sadā guftugū sau tarah guftugū kī
zahānat ke putle mohabbat ke ḳhāliq faqat ye batā de
ki tere anāsir ke ajzā-e-tarkīb meñ vāhima kaise aayā
hasan tū vahāñ jhoñpaḌe meñ
akelā gale mil ke royā thā kis se
labīb aur tū aur maiñ aur haqīqat meñ koī nahīñ thā
tarah vāhima mere lab mere gesū se lipTā rahā thā
labīb ek saayā jise tū ne rog apnī jaañ kā banāyā
ye saayā kahīñ gar haqīqat bhī hotā
to āḳhir ko tū is haqīqat se kyoñ be-ḳhabar thā
ki har jism ke saath ik āftāb aur mahtāb lāzim
ye taslīs qaa.em hai qaa.em rahegī
hasan meñ tire sāmne ā.īna thī
tire hijr aur vasl kā ā.īna
inhimāk o ta.alluq kī miTTī se gūñdhe hue jism ko
terī āñkhoñ kī hiddat ne chamkāyā thā
terī ḳhalvat kī hairat ne vo rañg o roġhan kiye the
ki ā.īne shashdar khaḌe rah ga.e the
magar terī ḳhalvat kī hairat meñ vahshat kā jo shā.iba thā
nigāhoñ se merī kahāñ chhup sakā thā
mare aur tire darmiyāñ vasl kī har ghaḌī meñ
na jaane kahāñ se vahī soḳhta baḳht terī
ki jo jāñ-fishānī ke shāloñ se dahke hue
zindagī ke abad tāb-e-tannūr par
ungliyāñ tere bachchoñ kī thāme khaḌī
bhuuk se barsar-e-jañg thī
jis ke nazdīk ye
tere kuuze tire fan tirī aag sab
merī āñkheñ mire phuul aur ḳhvāb sab
zindagī ke abad tāb-e-tannūr ke raakh the
terī is soḳhta baḳht ko kyā ḳhabar
jab zamīñ apne mehvar kī tajdīd meñ
harf-e-lā se guzar jā.egī
to hazāroñ baras baad bhī
ye azal ke gharoñdoñ kī miTTī meñ madfūn
phuul aur buuTe ye kuuze
aur un meñ unhī qaaf āñkhoñ se chhilke hue
surḳh paanī kī talchhaT
kisī kūza-gar ke javāñ lams se jī uThe to
jahāñ zaad us ke liye phir janm legī
aur nau baras raqs karte guzar jā.eñge
terī is soḳhta baḳht ko kyā ḳhabar
vo raat vo halab kī kārvāñ sirā kā hauz
jis ko maiñ ne jism-o-jān kī ḳhushbūeñ kashīd kar ke
qatra qatra nau baras meñ āñsuoñ se pur kiyā
vo ek raat sirf ek raat meñ tamām ḳhushk ho gayā
ham apne vasl kī tamāzatoñ meñ aise jal bujhe
ki raakh tak nahīñ bachchī
ye ek jaañ kī tishnagī
mujhe tujhe ba-yak zamāñ bhalā kahāñ kahāñ na khīñchtī phirī
magar ye tū ne kyā kahā
ki tere jaisī aurteñ jahāñ zaad
aisī uljhaneñ haiñ jin ko aaj tak koī nahīñ sulajh sakā
ki auratoñ kī zaat hai vo tanz apne aap par
javāb jin kā ham nahīñ
to phir ye jām-o-mīnā-o-subū-o-hauz-o-rūd niil
is zamīñ kī god meñ
azal kī harf-gīr tābnākī ke liye
kahīñ bhī kuchh baham nahīñ
ai hasan chaak par se zarā apnī nazreñ haTā
tū mire nau baras tak banā.e ga.e phuul to dekh le
phuul taaza shagufta aur āzurda haiñ
yuuñ na ho ki unheñ
bhuuk aur muflisī ke satā.e hue
mere bachche bhī nīlām kar aa.eñ jā kar kahīñ
tere kūzoñ kī mānind baġhdād meñ
ai hasan
dāman-e-vaqt par jitne phuul aur buuTe saje haiñ
jahāñ zaad kī zaḳhm poroñ ne rañg un meñ
apne junūñ ke bhare haiñ
ye tāvān haiñ champa.ī uñgliyoñ kā
tire jām-o-mīnā pe
jis ḳhāl-o-ḳhad kī nazākat kī parchhā.iyāñ thiiñ
tujhe kyā ḳhabar ye kin āñkhoñ kī bīnā.iyāñ thiiñ
hasan ye mohabbat
ki jis ko tirī soḳhta baḳht gardāntī hai
amīroñ kī baazī
to mere ta.iiñ ye amīroñ kī baazī kahāñ
sirf bāzīgarī thī
mohabbat hamesha se muflis kā sarmāya-e-jāñ rahī hai
yahī to vo pūñjī hai
jis tak amīroñ ke haath ab bhī pahuñche nahīñ haiñ
tujhe ye gumāñ thā
ki aurat
mohabbat kī baazī meñ be-jān patte kī sūrat
kisī dast-e-chābuk kī marhūn-e-minnat
vo is khel meñ ek mohre kī sūrat
ki jab jis ne chāhā
use ek ghar se uThā kar
kisī dūsre ghar kā mālik banāyā
ki aurat faqat ek patthar kī mūrat
ye tasvīr-e-hairat yūñhī chup khaḌī hai
yūñhī chup rahegī
magar yuuñ nahīñ hai
hasan tū ne dekhā ki maiñ
qaid-e-auhām o band-e-rivāyāt meñ
būḌhe attār yūsuf kī dukān par
apnī āñkheñ tujhe nazr kartī rahī
būḌhā attār vo kīmiyā-gar ki jis ne
zamānoñ ke jañgal se
chehroñ ke phuul aur buuTe chune
vo mujhe aur tujhe jāntā thā magar
maiñ ne bāzār meñ
tujh se āñkhoñ kā aur dil kā saudā kiyā
ai hasan mere ek ik darīche pe
kohna rivāyāt o zālim aqā.ed kā jañgal ugā thā
hasan
kaash to merī āñkhoñ se mere darīche ko taktā
to ye jaan saktā
jahāñ tū khaḌā thā vahāñ ek ik darz se
merī āñkheñ mirā jism
chhan chhan ke kaT kaT ke girtā rahā thā
ai hasan kuza-gar
tu ne jaana ki main
jism-o-jaan ke talluq ki raushan guzargah se
ek jahan ka safar jhel kar us
rifaqat ki dahliz tak aai hun
ai hasan kash tu jaan sakta
ki is sahn KHana se dahliz tak ke safar mein
jahan zad ko kyun zamane lage hain
hasan is safar mein jahan zad ko
ek ek gam par waqt ke taziyane lage hain
hasan waqt malik bhi hai dewta bhi
muhafiz bhi hai aur KHwaja-sara bhi
ye dekha hai main ne
ki jab bhi darichon mein taza shagufa khula hai
hawa se wo hans kar zara sa gale bhi mila hai
to KHwaja-sara ki nazar se kahan bach saka hai
magar dekh mujh ko ki main ne yahan Thik nau sal tak
phul kaDhe hain KHwabon ke bistar pe lekin
abhi tak koi in pe soya nahin
phul taza shagufta aur aazurda hain
main ne nau sal surat-gari ki hai tere har ek lams ki
raat bhar main ne aankhen bhigoi hain kuzon mein aur subh dam
halaq ko tar kiya aansuon se bahut
ye masafat ye nau sal ki be-mahaba masafat
tere dar ke aage mujhe khinch lai
magar tu yahan chaak par apni dhun mein magan hai nigahen uTha
dekh to main jahan zad teri tere samne hun
magar tu ne sach hi kaha tha
zamana jahan zad wo chaak hai
jis pe mina-o-jam-o-subu aur fanus-o-gul-dan ki manind
bante bigaDte hain insan
so ab hum
jo sadiyon ki lambi masafat se lauTe hain
to apne ranjur kuzon mein jhojha hua hai
ye tera qusur aur na meri KHata hai
koi kuza-gar to hamara bhi hoga
so ye us ki hikmat
ki us ne hamein chaak par Dhaalte waqt
lamhon ka pher is nazakat se rakha
ki hum apni apni jagah sirf shashdar khaDe the
kai dast-e-chabuk ke be-jaan putle
mare aur tere darmiyan saj gae the
so ye us ki hikmat
magar waqt is darja saffak kyon hai
ye mashshata-e-zindagi itni chaalak kyon hai
mare aur tere darmiyan nau baras jis ne la kar bichhae
ye nau sal kis taur main ne bitae
ki sahil se kashti tak aate hue
jaise taKHte ke hamrah dil Dagmagae
wahi nau baras jo mere aur tere darmiyan
waqt ki kirchiyan hain
zamana bhi kaisi ajab kahkashan hai
ye duniyae sayyargan hai ki jis mein hazaron kawakib
musalsal kisi chaak par ghumte hain
ye ajsam ke gird ajsam ka raqs hi zindagi hai meri jaan
meri jaan tu chaak ke sath miTTi ke rishte ko pahchanta tha
hasan tu ne miTi ke be-jaan putlon se
taKHliq ke jaan-gusil marhalon mein
sada guftugu sau tarah guftugu ki
zahanat ke putle mohabbat ke KHaliq faqat ye bata de
ki tere anasir ke ajza-e-tarkib mein wahima kaise aaya
hasan tu wahan jhonpaDe mein
akela gale mil ke roya tha kis se
labib aur tu aur main aur haqiqat mein koi nahin tha
tarah wahima mere lab mere gesu se lipTa raha tha
labib ek saya jise tu ne rog apni jaan ka banaya
ye saya kahin gar haqiqat bhi hota
to aaKHir ko tu is haqiqat se kyon be-KHabar tha
ki har jism ke sath ek aaftab aur mahtab lazim
ye taslis qaem hai qaem rahegi
hasan mein tere samne aaina thi
tere hijr aur wasl ka aaina
inhimak o talluq ki miTTi se gundhe hue jism ko
teri aankhon ki hiddat ne chamkaya tha
teri KHalwat ki hairat ne wo rang o roghan kiye the
ki aaine shashdar khaDe rah gae the
magar teri KHalwat ki hairat mein wahshat ka jo shaiba tha
nigahon se meri kahan chhup saka tha
mare aur tere darmiyan wasl ki har ghaDi mein
na jaane kahan se wahi soKHta baKHt teri
ki jo jaan-fishani ke shaalon se dahke hue
zindagi ke abad tab-e-tannur par
ungliyan tere bachchon ki thame khaDi
bhuk se barsar-e-jang thi
jis ke nazdik ye
tere kuze tere fan teri aag sab
meri aankhen mere phul aur KHwab sab
zindagi ke abad tab-e-tannur ke rakh the
teri is soKHta baKHt ko kya KHabar
jab zamin apne mehwar ki tajdid mein
harf-e-la se guzar jaegi
to hazaron baras baad bhi
ye azal ke gharondon ki miTTi mein madfun
phul aur buTe ye kuze
aur un mein unhi qaf aankhon se chhilke hue
surKH pani ki talchhaT
kisi kuza-gar ke jawan lams se ji uThe to
jahan zad us ke liye phir janm legi
aur nau baras raqs karte guzar jaenge
teri is soKHta baKHt ko kya KHabar
wo raat wo halab ki karwan sira ka hauz
jis ko main ne jism-o-jaan ki KHushbuen kashid kar ke
qatra qatra nau baras mein aansuon se pur kiya
wo ek raat sirf ek raat mein tamam KHushk ho gaya
hum apne wasl ki tamazaton mein aise jal bujhe
ki rakh tak nahin bachchi
ye ek jaan ki tishnagi
mujhe tujhe ba-yak zaman bhala kahan kahan na khinchti phiri
magar ye tu ne kya kaha
ki tere jaisi aurten jahan zad
aisi uljhanen hain jin ko aaj tak koi nahin sulajh saka
ki auraton ki zat hai wo tanz apne aap par
jawab jin ka hum nahin
to phir ye jam-o-mina-o-subu-o-hauz-o-rud nil
is zamin ki god mein
azal ki harf-gir tabnaki ke liye
kahin bhi kuchh baham nahin
ai hasan chaak par se zara apni nazren haTa
tu mere nau baras tak banae gae phul to dekh le
phul taza shagufta aur aazurda hain
yun na ho ki unhen
bhuk aur muflisi ke satae hue
mere bachche bhi nilam kar aaen ja kar kahin
tere kuzon ki manind baghdad mein
ai hasan
daman-e-waqt par jitne phul aur buTe saje hain
jahan zad ki zaKHm poron ne rang un mein
apne junun ke bhare hain
ye tawan hain champai ungliyon ka
tere jam-o-mina pe
jis KHal-o-KHad ki nazakat ki parchhaiyan thin
tujhe kya KHabar ye kin aankhon ki binaiyan thin
hasan ye mohabbat
ki jis ko teri soKHta baKHt gardanti hai
amiron ki bazi
to mere tain ye amiron ki bazi kahan
sirf bazigari thi
mohabbat hamesha se muflis ka sarmaya-e-jaan rahi hai
yahi to wo punji hai
jis tak amiron ke hath ab bhi pahunche nahin hain
tujhe ye guman tha
ki aurat
mohabbat ki bazi mein be-jaan patte ki surat
kisi dast-e-chabuk ki marhun-e-minnat
wo is khel mein ek mohre ki surat
ki jab jis ne chaha
use ek ghar se uTha kar
kisi dusre ghar ka malik banaya
ki aurat faqat ek patthar ki murat
ye taswir-e-hairat yunhi chup khaDi hai
yunhi chup rahegi
magar yun nahin hai
hasan tu ne dekha ki main
qaid-e-auham o band-e-riwayat mein
buDhe attar yusuf ki dukan par
apni aankhen tujhe nazr karti rahi
buDha attar wo kimiya-gar ki jis ne
zamanon ke jangal se
chehron ke phul aur buTe chune
wo mujhe aur tujhe jaanta tha magar
main ne bazar mein
tujh se aankhon ka aur dil ka sauda kiya
ai hasan mere ek ek dariche pe
kohna riwayat o zalim aqaed ka jangal uga tha
hasan
kash to meri aankhon se mere dariche ko takta
to ye jaan sakta
jahan tu khaDa tha wahan ek ek darz se
meri aankhen mera jism
chhan chhan ke kaT kaT ke girta raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.