jahan-zadi ka status
zamāna kitnā badal gayā hai
maqām rishtoñ kā miT rahā hai
kahīñ mohabbat kā ruup dhāre
kahīñ sulagte ye nafratoñ se
kahīñ pe āñkhoñ meñ ret ban kar
chubhan kī sūrat rulā rahe haiñ
kahīñ ye barqī payām ban kar
hazār mīloñ pe chhā.ī duurī ke bādaloñ ko haTā rahe haiñ
diloñ kī dhaḌkan baḌhā rahe haiñ
rivāyatoñ ko badal rahe haiñ
vafā ke dhāge jafā se har dam ulajh rahe haiñ
udaas lamhe ḳhushī-o-hairat kī saarī ghaḌiyāñ
diloñ se bāhar nikal ke dīvār kā navishta
mohabbat azalī aziim rishta
jo lākhoñ pardoñ meñ jagmagātā thā
ab status pe ishtihā kī ḳhabar kī sūrat badal rahā hai
koī bhī jazba koī bhī rishta
na mustaqil hai na mo'atabar hai
palak jhapakne meñ badle manzar
ki jaise koī jahān-zādī ta.alluq apnā badal rahī ho
na.ī koī chaal chal rahī ho
junūñ kī aglī jo manzileñ haiñ
vahāñ pe tasvīreñ āvezāñ haiñ
dabī dabī muskurāhaTeñ haiñ
ghuTī ghuTī sansanāhaTeñ haiñ
junūn ehsās aur mohabbat
vaqār apnā miTā rahī haiñ
batā rahī haiñ
zamāna kitnā badal gayā hai
zamana kitna badal gaya hai
maqam rishton ka miT raha hai
kahin mohabbat ka rup dhaare
kahin sulagte ye nafraton se
kahin pe aankhon mein ret ban kar
chubhan ki surat rula rahe hain
kahin ye barqi payam ban kar
hazar milon pe chhai duri ke baadalon ko haTa rahe hain
dilon ki dhaDkan baDha rahe hain
riwayaton ko badal rahe hain
wafa ke dhage jafa se har dam ulajh rahe hain
udas lamhe KHushi-o-hairat ki sari ghaDiyan
dilon se bahar nikal ke diwar ka nawishta
mohabbat azali azim rishta
jo lakhon pardon mein jagmagata tha
ab status pe ishtiha ki KHabar ki surat badal raha hai
koi bhi jazba koi bhi rishta
na mustaqil hai na mo'atabar hai
palak jhapakne mein badle manzar
ki jaise koi jahan-zadi talluq apna badal rahi ho
nai koi chaal chal rahi ho
junun ki agli jo manzilen hain
wahan pe taswiren aawezan hain
dabi dabi muskurahaTen hain
ghuTi ghuTi sansanahaTen hain
junun ehsas aur mohabbat
waqar apna miTa rahi hain
bata rahi hain
zamana kitna badal gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.