jahannam se pahle jahannam
gandum kī vo boriyāñ
jo hamāre hisse meñ aa.eñ
un meñ kahāniyāñ nahīñ
mare hue kirdār bhare hue the
ham bahut muddat tak talāshte rahe
apnā jalāyā gayā badan
magar koī naqsh mumāsil nahīñ thā
hamāre ḳhāl-o-ḳhad se
yā shāyad hamārā naqsha pighal chukā thā
jo badan ḳhud-ba-ḳhud nahīñ jalte
balki jhoñk diye jaate haiñ
aag kī bal khaa.ī huī rassiyoñ meñ
unheñ tumhārī ilhāmī kitāb
shahīd likhtī hai yā mahlūk
ho saktā hai hameñ ka.ī sau saal pahle tak
zinda rakkhā gayā ho reza reza tah meñ
magar ab to hameñ māchis kī tīliyoñ kī tarah
band rakhā gayā hai
makānoñ kī Dibiyoñ meñ
jahāñ apne hī laave meñ kholtī rahtī hai
hamāre zehnoñ kī hayā-bāḳhtā baġhāvat
magar ham shahīd kī darjātī sīḌhiyoñ se
gir ke apāhij ho chuke haiñ
is liye hameñ salāḳhoñ ke sunahrī jaal meñ
par phaḌphaḌāne do
kahīñ aisā na ho
tum hameñ soḳhta dīvāro kī matrūk kahāniyāñ sunāo
aur ham māchis kī tīliyoñ kī tarah
bhaḌak uTheñ aur phir........
jal ke raakh ho jaa.eñ
jalī huī tīliyoñ kī jagah kahāñ hotī hai?
ye jalāne vaale se behtar
kaun jaan saktā hai?
gandum ki wo boriyan
jo hamare hisse mein aaen
un mein kahaniyan nahin
mare hue kirdar bhare hue the
hum bahut muddat tak talashte rahe
apna jalaya gaya badan
magar koi naqsh mumasil nahin tha
hamare KHal-o-KHad se
ya shayad hamara naqsha pighal chuka tha
jo badan KHud-ba-KHud nahin jalte
balki jhonk diye jate hain
aag ki bal khai hui rassiyon mein
unhen tumhaari ilhami kitab
shahid likhti hai ya mahluk
ho sakta hai hamein kai sau sal pahle tak
zinda rakkha gaya ho reza reza tah mein
magar ab to hamein machis ki tiliyon ki tarah
band rakha gaya hai
makanon ki Dibiyon mein
jahan apne hi lawe mein kholti rahti hai
hamare zehnon ki haya-baKHta baghawat
magar hum shahid ki darjati siDhiyon se
gir ke apahij ho chuke hain
is liye hamein salaKHon ke sunahri jal mein
par phaDphaDane do
kahin aisa na ho
tum hamein soKHta diwaro ki matruk kahaniyan sunao
aur hum machis ki tiliyon ki tarah
bhaDak uThen aur phir
jal ke rakh ho jaen
jali hui tiliyon ki jagah kahan hoti hai?
ye jalane wale se behtar
kaun jaan sakta hai?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.