jahannami
maiñ aksar sochtā huuñ
zehn kī tārīk galiyoñ meñ
dahaktā aur pighaltā
dhīre dhīre aage baḌhtā
ġham kā ye laavā
agar chāhūñ
to ruk saktā hai
mere dil kī kachchī khaal par rakkhā ye añgārā
agar chāhūñ
to bujh saktā hai
lekin
phir ḳhayāl aatā hai
mere saare rishtoñ meñ
paḌī saarī darāḌoñ se
guzar ke aane vaalī barf se ThanDī havā
aur merī har pahchān par sardī kā ye mausam
kahīñ aisā na ho
is jism ko is ruuh ko hī munjamid kar de
maiñ aksar sochtā huuñ
zehn kī tārīk galiyoñ meñ
dahaktā aur pighaltā
dhīre dhīre aage baḌhtā
ġham kā ye laavā
aziyyat hai
magar phir bhī ġhanīmat hai
isī se ruuh meñ garmī
badan meñ ye harārat hai
ye ġham merī zarūrat hai
maiñ apne ġham se zinda huuñ
main aksar sochta hun
zehn ki tarik galiyon mein
dahakta aur pighalta
dhire dhire aage baDhta
gham ka ye lawa
agar chahun
to ruk sakta hai
mere dil ki kachchi khaal par rakkha ye angara
agar chahun
to bujh sakta hai
lekin
phir KHayal aata hai
mere sare rishton mein
paDi sari daraDon se
guzar ke aane wali barf se ThanDi hawa
aur meri har pahchan par sardi ka ye mausam
kahin aisa na ho
is jism ko is ruh ko hi munjamid kar de
main aksar sochta hun
zehn ki tarik galiyon mein
dahakta aur pighalta
dhire dhire aage baDhta
gham ka ye lawa
aziyyat hai
magar phir bhi ghanimat hai
isi se ruh mein garmi
badan mein ye hararat hai
ye gham meri zarurat hai
main apne gham se zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.