jahl
kise kyā kahūñ
mire lafz tarsīl se munharif haiñ
mirī soch apnī hī pechāk pe ghūmtī jā rahī hai
sunahre rupahle hare kāsnī
kuuza dar kuuza
rañgoñ meñ lipTe hue
mere jazbāt
jin ko parosūñ to sochūñ
bahut talḳh hai zā.iqa
kaun samjhe mohabbat kī jādūgarī
kaun parkhe adāvat kī pākīzgī
kis ko samjhā.ūñ hijrat kī āvārgī
kis ko dikhlā.ūñ ġhurbat kī āsūdgī
dil meñ rakh luuñ to zahrāb ban jā.eñge
ḳhush-kalāmī kā kaise bharam rakh sakūñ
āfrīnī kahīñ hai to ma.anī kahīñ
aisā bikhrāo pahle nahīñ thā kabhī
sach ko ġhāze-o-ġhamze se kyā aar thā
ab mulamma.a kī koshish meñ dil hai kahīñ
zehn hai aur kahīñ
lafz tārīk-tar
soch bhī gunjlak
ḳhud pe apnā yaqīñ laḌkhaḌā sā gayā
bāzgasht-e-sadā merā pīchhā na kar
mujh ko mere tayaqqun ne jāhil kiyā
kise kya kahun
mere lafz tarsil se munharif hain
meri soch apni hi pechaak pe ghumti ja rahi hai
sunahre rupahle hare kasni
kuza dar kuza
rangon mein lipTe hue
mere jazbaat
jin ko parosun to sochun
bahut talKH hai zaiqa
kaun samjhe mohabbat ki jadugari
kaun parkhe adawat ki pakizgi
kis ko samjhaun hijrat ki aawargi
kis ko dikhlaun ghurbat ki aasudgi
dil mein rakh lun to zahrab ban jaenge
KHush-kalami ka kaise bharam rakh sakun
aafrini kahin hai to mani kahin
aisa bikhrao pahle nahin tha kabhi
sach ko ghaze-o-ghamze se kya aar tha
ab mulamma ki koshish mein dil hai kahin
zehn hai aur kahin
lafz tarik-tar
soch bhi gunjlak
KHud pe apna yaqin laDkhaDa sa gaya
bazgasht-e-sada mera pichha na kar
mujh ko mere tayaqqun ne jahil kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.