jai jai hindostan
hindostān tumhārā bachcho
tum ho hindostān ke bachcho
is kī shaan tumhī se pyāre
mālik ho tum aan ke bachcho
jai jai hindostān
viir buzurgoñ kī santāno
apne ko tum ḳhud pahchāno
raanā aur hamīd bhī tum ho
niklo apnā siina taano
jai jai hindostān
un ko kyoñ tum bhuul rahe ho
kashT jinhoñ ne bhī jhele the
āzādī pā lene ko jo
tūfānoñ se bhī khele the
jai jai hindostān
aage baḌhnā kaam tumhārā
kaam nahīñ hai ruknā hargiz
miT jaao tum aan pe apnī
kaam nahīñ hai jhuknā hargiz
jai jai hindostān
mehnat se āzādī lī jo
is par sab ko naaz rahegā
sone kī chiḌiyā hai bhārat
sab ke sar kā taaj rahegā
jai jai hindostān
is kī rakshā dharm hamārā
is meñ sab kī shaan hai bachcho
aman kā jo sandesh hai detā
pyārā hindostān hai bachcho
hindostan tumhaara bachcho
tum ho hindostan ke bachcho
is ki shan tumhi se pyare
malik ho tum aan ke bachcho
jai jai hindostan
wir buzurgon ki santano
apne ko tum KHud pahchano
rana aur hamid bhi tum ho
niklo apna sina tano
jai jai hindostan
un ko kyon tum bhul rahe ho
kashT jinhon ne bhi jhele the
aazadi pa lene ko jo
tufanon se bhi khele the
jai jai hindostan
aage baDhna kaam tumhaara
kaam nahin hai rukna hargiz
miT jao tum aan pe apni
kaam nahin hai jhukna hargiz
jai jai hindostan
mehnat se aazadi li jo
is par sab ko naz rahega
sone ki chiDiya hai bhaarat
sab ke sar ka taj rahega
jai jai hindostan
is ki raksha dharm hamara
is mein sab ki shan hai bachcho
aman ka jo sandesh hai deta
pyara hindostan hai bachcho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.