jaise
aaj qāsid ko idhar se jo guzarte dikhā
mujh ko aisā lagā jaise ki tirā ḳhat aayā
tū nahīñ phir bhī chalā kartī hai duniyā merī
ab to mahsūs nahīñ hotī kabhī terī kamī
jaane dahlīz pe utrā thā vo kis kā saaya
yuuñ lagā jaise ki apnā koī vāpas aayā
tū mujhe yaad na aa.e kabhī aisā na huā
phir bhī ro ro ke guzar hotā ho ye bhī na huā
jaane kyā soch ke in āñkhoñ meñ aañsū aa.e
aaj nāzuk se ka.ī lamhe mujhe yaad aayā
aaj qāsid ko idhar se jo guzarte dekhā
mujh ko aisā lagā jaise ki terā ḳhat aayā
aaj qasid ko idhar se jo guzarte dikha
mujh ko aisa laga jaise ki tera KHat aaya
tu nahin phir bhi chala karti hai duniya meri
ab to mahsus nahin hoti kabhi teri kami
jaane dahliz pe utra tha wo kis ka saya
yun laga jaise ki apna koi wapas aaya
tu mujhe yaad na aae kabhi aisa na hua
phir bhi ro ro ke guzar hota ho ye bhi na hua
jaane kya soch ke in aankhon mein aansu aae
aaj nazuk se kai lamhe mujhe yaad aaya
aaj qasid ko idhar se jo guzarte dekha
mujh ko aisa laga jaise ki tera KHat aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.