jaise madhuban ki baala
chehra us kā surḳh gulāb
hoñT bhare yāqūt se haiñ
jhiil sī gahrī kaalī āñkheñ
chāñd jabīñ pe rahtā hai
zulfoñ meñ ambar kī ḳhushbū
tāj-mahal sā us kā jism
ġhunchoñ se bharī Daalī kī tarah vo
lahrātī bal khātī hai
be-ḳhaufī be-fikrī meñ
mast magan sī rahtī hai
jaise madhūban kī baalā
jaise hasīna gaañv kī
jaisī 'hasrat' kī mahbūba
jaisī pyārī shāh-'qutub' kī
jaise ġhazal vo 'mīr' kī ho
haañ vo bilkul aisī hī hai
haañ vo merī māshūqa hai
merī hī māshūqa hai vo
chehra us ka surKH gulab
honT bhare yaqut se hain
jhil si gahri kali aankhen
chand jabin pe rahta hai
zulfon mein ambar ki KHushbu
taj-mahal sa us ka jism
ghunchon se bhari Dali ki tarah wo
lahraati bal khati hai
be-KHaufi be-fikri mein
mast magan si rahti hai
jaise madhuban ki baala
jaise hasina ganw ki
jaisi 'hasrat' ki mahbuba
jaisi pyari shah-'qutub' ki
jaise ghazal wo 'mir' ki ho
han wo bilkul aisi hi hai
han wo meri mashuqa hai
meri hi mashuqa hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.