jal-pariyan
har taraf be-karāñ samundar hai
apnī kashtī kā kashtī-bāñ
nā-muvāfiq havā ke hachkole
bādbānoñ ke saath apne bhī
dast-o-bāzū kī āzmā.ish hai
purkashish jalva-rez jal-pariyāñ
hausla zindagī kā detī haiñ
bulbuloñ sī paanī par
sar uThātī haiñ muskurātī haiñ
raqs kartī haiñ Duub jaatī haiñ
har taraf be-karan samundar hai
apni kashti ka kashti-ban
na-muwafiq hawa ke hachkole
baadbanon ke sath apne bhi
dast-o-bazu ki aazmaish hai
purkashish jalwa-rez jal-pariyan
hausla zindagi ka deti hain
bulbulon si pani par
sar uThati hain muskuraati hain
raqs karti hain Dub jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.