jalal-e-husn
kal dikhī thī vo mujh ko
ġhāziyoñ ke majma' meñ
bāġhiyoñ ke halqe meñ
haq ke pairokāroñ meñ
inqilābī nā'roñ meñ
lashkar-e-shujā'at meñ
kārvān-e-himmat meñ
us kī jis kalā.ī meñ
mere naam kā kangan
karvaTeñ badaltā thā
aaj us kalā.ī par
ik safed paTTī thī
jis pe ḳhuun ke chhīñTe
ġhāliban batāte the
goyā us ne kal shab hī
chūḌiyoñ ko toḌā ho
us kī chauḌī peshānī
jis pe zaḳhm kā gahrā
ik nishān ubhrā thā
zulm aur sitam kī jo
dāstāñ sunātā thā
us kī surma.ī āñkheñ
bārhā jinheñ maiñ ne
jhiil se milāyā thā
un meñ ḳhuuñ ubaltā thā
ġhaiz aur ġhazab meñ vo
intiqām ke sho'le
barhamī ke angāre
ātishī dahakte the
us ke pankhuḌī se lab
azhdahe kī sūrat meñ
zulm ke sapoloñ ko
ġharq karne vaale the
us kī vo siyah zulfeñ
zulm ke makānoñ meñ
raat laane vaalī thiiñ
vo nishān-e-haq thāme
kārvān-e-haq le kar
jo qadam baḌhātī thī
us ke naqsh-e-pā yaaro
ret par sunahrī sī
kahkashāñ banāte the
maiñ zarā rukā Thahrā
do qadam chalā aur phir
us ke naqsh-e-pā chūme
chuum kar chalā aayā
kal dikhi thi wo mujh ko
ghaziyon ke majma' mein
baghiyon ke halqe mein
haq ke pairokaron mein
inqilabi na'ron mein
lashkar-e-shuja'at mein
karwan-e-himmat mein
us ki jis kalai mein
mere nam ka kangan
karwaTen badalta tha
aaj us kalai par
ek safed paTTi thi
jis pe KHun ke chhinTe
ghaaliban batate the
goya us ne kal shab hi
chuDiyon ko toDa ho
us ki chauDi peshani
jis pe zaKHm ka gahra
ek nishan ubhra tha
zulm aur sitam ki jo
dastan sunata tha
us ki surmai aankhen
barha jinhen main ne
jhil se milaya tha
un mein KHun ubalta tha
ghaiz aur ghazab mein wo
intiqam ke sho'le
barhami ke angare
aatishi dahakte the
us ke pankhuDi se lab
azhdahe ki surat mein
zulm ke sapolon ko
gharq karne wale the
us ki wo siyah zulfen
zulm ke makanon mein
raat lane wali thin
wo nishan-e-haq thame
karwan-e-haq le kar
jo qadam baDhati thi
us ke naqsh-e-pa yaro
ret par sunahri si
kahkashan banate the
main zara ruka Thahra
do qadam chala aur phir
us ke naqsh-e-pa chume
chum kar chala aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.