jaliyan-wala bagh
ai ki tū gahvāra-e-shān-e-vatan
sajda-gāh-e-ahl-e-īmān-e-vatan
markaz-e-arbāb-e-armān-e-vatan
azmat-e-ḳhūn-e-shahīdān-e-vatan
jang-e-āzādī kī zinda yādgār
āstāñ par tere sajde laakh baar
yaad hai vo din hameñ ai jān-e-man
jab adū tujh par huā thā teġh-zan
aur sad.hā jāñ-nisārān-e-vatan
tujh pe qurbāñ ho ga.e dar dam zadan
yaad hai un ke lahū kī ye pukār
āstāñ par tere sajde laakh baar
yaad hai vo manzar-e-sehn-e-chaman
ziist par barq-e-ajal partav-fagan
vaqf naala har fidā-e-anjuman
kushtoñ ke pushte the miTTī kā kafan
ḳhūn-e-abnā-e-vatan ke lāla-zār
āstāñ par tere sajde laakh baar
aaj hai vo inqalāb-e-anjuman
tū hai unvān-e-bahār-e-anjuman
aur jis jā nasb the dār-o-rasan
ab vahāñ shādāb haiñ sarv-o-saman
qaum kī ummīd ai bāġh-o-bahār
āstāñ par tere sajde laakh baar
tere chhalnī dil ke zaḳhmoñ kī jalan
misl-e-sham.a-e-hurriyat hai zau-fagan
aur vo terī jabīñ kī har shikan
sub.h-e-āzādī kī hai zarrīñ kiran
tujh se sharminda hai shāhī kā vaqār
āstāñ par tere sajde laakh baar
mazlūm kī āvāz hai jaliyāñ-vālā
ik soz bharā saaz hai jaliyāñ-vālā
raqsāñ hai jahāñ jashn-e-shahādat 'hindī'
vo jalva-gah-e-nāz hai jaliyāñ-vālā
ai ki tu gahwara-e-shan-e-watan
sajda-gah-e-ahl-e-iman-e-watan
markaz-e-arbab-e-arman-e-watan
azmat-e-KHun-e-shahidan-e-watan
jang-e-azadi ki zinda yaadgar
aastan par tere sajde lakh bar
yaad hai wo din hamein ai jaan-e-man
jab adu tujh par hua tha tegh-zan
aur sadha jaan-nisaran-e-watan
tujh pe qurban ho gae dar dam zadan
yaad hai un ke lahu ki ye pukar
aastan par tere sajde lakh bar
yaad hai wo manzar-e-sehn-e-chaman
zist par barq-e-ajal partaw-fagan
waqf nala har fida-e-anjuman
kushton ke pushte the miTTi ka kafan
KHun-e-abna-e-watan ke lala-zar
aastan par tere sajde lakh bar
aaj hai wo inqalab-e-anjuman
tu hai unwan-e-bahaar-e-anjuman
aur jis ja nasb the dar-o-rasan
ab wahan shadab hain sarw-o-saman
qaum ki ummid ai bagh-o-bahaar
aastan par tere sajde lakh bar
tere chhalni dil ke zaKHmon ki jalan
misl-e-shama-e-hurriyat hai zau-fagan
aur wo teri jabin ki har shikan
subh-e-azadi ki hai zarrin kiran
tujh se sharminda hai shahi ka waqar
aastan par tere sajde lakh bar
mazlum ki aawaz hai jaliyan-wala
ek soz bhara saz hai jaliyan-wala
raqsan hai jahan jashn-e-shahadat 'hindi'
wo jalwa-gah-e-naz hai jaliyan-wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.