jalti-bujhti si raushni ke pare
jaltī-bujhtī sī raushnī ke pare
ham ne ik raat aisī paa.ī thī
ruuh ko daañt se jis ne kaaTā
jis kī har adā muskurā.ī thī
jis kī bhiñchī huī hathelī se
saare ātish-fishāñ ubal uThe
jis ke hoñToñ kī surḳhī chhūte hī
aag sī tamām jangaloñ meñ lagī
raakh māthe pe chuTkī bhar ke rakhī
ḳhuun kī jyuuñ bindiyā lagā.ī ho
kis qadar javān thī
masmasī thī
mahñgī thī vo raat
ham ne jo raat yūñhī paa.ī thī
jalti-bujhti si raushni ke pare
hum ne ek raat aisi pai thi
ruh ko dant se jis ne kaTa
jis ki har ada muskurai thi
jis ki bhinchi hui hatheli se
sare aatish-fishan ubal uThe
jis ke honTon ki surKHi chhute hi
aag si tamam jangalon mein lagi
rakh mathe pe chuTki bhar ke rakhi
KHun ki jyun bindiya lagai ho
kis qadar jawan thi
masmasi thi
mahngi thi wo raat
hum ne jo raat yunhi pai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.