jalti cigarette
jab kabhī tum
cigarette jalāne kī
koshish karte the
maiñ phūñk maar kar
bujhā detī thī
kitnī baar kahā thā
tum se
ye zindagī
sirf tumhārī nahīñ hai
merā jo dil hai
vo tumhāre cigarette ke dhueñ
se ḳharāb ho rahā hai
aish-tray meñ baḌhtī raakh
se zindagī merī
siyāh huī jaatī hai
bujhāyā karo inheñ
jalāne se pahle
ek kash zindagī kā
bujhī huī cigarette se lagānā
maiñ ne sañjo kar rakhe hai
kuchh purāne Dabbe cigarette ke
jis par ham ne
zindagī kā plan banāyā thā
vo cigarette ḳharāb ho ga.ī hai
lekin plan abhī bhī
sanjīda lagtā hai
ab nā jalānā cigarette
ab maiñ vahāñ nahīñ huuñ
jaltī cigarette bujhāne ko
jab kabhi tum
cigarette jalane ki
koshish karte the
main phunk mar kar
bujha deti thi
kitni bar kaha tha
tum se
ye zindagi
sirf tumhaari nahin hai
mera jo dil hai
wo tumhaare cigarette ke dhuen
se KHarab ho raha hai
aish-tray mein baDhti rakh
se zindagi meri
siyah hui jati hai
bujhaya karo inhen
jalane se pahle
ek kash zindagi ka
bujhi hui cigarette se lagana
main ne sanjo kar rakhe hai
kuchh purane Dabbe cigarette ke
jis par hum ne
zindagi ka plan banaya tha
wo cigarette KHarab ho gai hai
lekin plan abhi bhi
sanjida lagta hai
ab na jalana cigarette
ab main wahan nahin hun
jalti cigarette bujhane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.